mausamon ki sakhtiyan
al-hafiz-o-al-amaan
bewafa hai ye jahaan
aage tum jaano miyaan
shehar mein do-chaar the
kya hue aashuftagan
ab koi musabat amal
kab talak aah-o-fughaan
ek sahraa-e-baseet
tere mere darmiyaan
rehm se aari zameen
aur naaraz aasmaan
kyun uthaaye zillatein
kis ko rahna hai yahan
ud rahi hain chaar soo
zindagi ki dhajjiyaan
ma'arka hai sher-goi
sahal mat jaano miyaan
phir wahi kaaghaz qalam
phir wahi kaar-e-ziyaan
मौसमों की सख़्तियाँ
अल-हफ़ीज़-ओ-अल-अमाँ
बेवफ़ा है ये जहाँ
आगे तुम जानो मियाँ
शहर में दो-चार थे
क्या हुए आशुफ़्तगाँ
अब कोई मुसबत अमल
कब तलक आह-ओ-फ़ुग़ाँ
एक सहरा-ए-बसीत
तेरे मेरे दरमियाँ
रहम से आरी ज़मीं
और नाराज़ आसमाँ
क्यों उठाएँ ज़िल्लतें
किस को रहना है यहाँ
उड़ रही हैं चार सू
ज़िंदगी की धज्जियाँ
मा'रका है शेर-गोई
सहल मत जानो मियाँ
फिर वही काग़ज़ क़लम
फिर वही कार-ए-ज़ियाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parvez akhtar
our suggestion based on Parvez akhtar
As you were reading Bhai Shayari Shayari