hua hai na hoga zamaana kisi ka
uthaana kisi ko girana kisi ka
kai rehnuma the alaava bhi dil ke
magar ham ne kehna na maana kisi ka
taalluq kahaan zindagi se hamaara
taaruf hai bas ghaaibaana kisi ka
muqaddar hi awwal muqaddar hi aakhir
na paani kisi ka na daana kisi ka
jo baaki bachenge vo kaise jiyeenge
agar ho hi jaaye zamaana kisi ka
bina vajh-e-azmat nazar mein sabhi ki
jo kirdaar tha mujrimaana kisi ka
zamaane ko bardaasht hota nahin hai
naya koi pauda lagana kisi ka
bahut dard deta hai parvez akhtar
musalsal hamein aazmaana kisi ka
wahan par hain parvez ab ham jahaan par
na aana kisi ka na jaana kisi ka
हुआ है न होगा ज़माना किसी का
उठाना किसी को गिराना किसी का
कई रहनुमा थे अलावा भी दिल के
मगर हम ने कहना न माना किसी का
तअल्लुक़ कहाँ ज़िंदगी से हमारा
तआ'रुफ़ है बस ग़ाएबाना किसी का
मुक़द्दर ही अव्वल मुक़द्दर ही आख़िर
न पानी किसी का न दाना किसी का
जो बाक़ी बचेंगे वो कैसे जिएँगे
अगर हो ही जाए ज़माना किसी का
बिना वज्ह-ए-अज़्मत नज़र में सभी की
जो किरदार था मुजरिमाना किसी का
ज़माने को बर्दाश्त होता नहीं है
नया कोई पौदा लगाना किसी का
बहुत दर्द देता है 'परवेज़' 'अख़्तर'
मुसलसल हमें आज़माना किसी का
वहाँ पर हैं 'परवेज़' अब हम जहाँ पर
न आना किसी का न जाना किसी का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parvez akhtar
our suggestion based on Parvez akhtar
As you were reading Duniya Shayari Shayari