wafaon ke na vaadon ke na qasmon ke zamaane hain
ye sab jhoothe bahaane hain ye sab kisse purane hain
chala hi jaaunga is bazm se kuchh der to thehroon
abhi apne liye us aankh mein aansu kamaane hain
tujhe bhi ishq mein hargiz nahin kuchh naam karna hai
mujhe bhi koshishein karke kahaan parvat jhukaane hain
zamaane se nahin waqif abhi naadaan hoon maana
magar ik din saleeqe zindagi ke aa hi jaane hain
charaagon bujh rahe ho kyun tumhein jalna sehar tak hai
abhi to raat baqi hai abhi kuchh gham bhulaane hain
hawaon mat bujhaao tum diya meri umeedon ka
bhatkte hain musafir jo isee raaste se aane hain
bhigona chhodkar daaman karo kuchh yun mere ashkon
zara aatish mein dhal jaao ki uske khat jalane hain
tumheen-tum ho kahaani mein hamaare naam par maahir
tumhaare naam par dekho yahan kitne fasaane hain
वफ़ाओं के, न वादों के, न क़समों के ज़माने हैं
ये सब झूठे बहाने हैं ये सब क़िस्से पुराने हैं
चला ही जाऊँगा इस बज़्म से, कुछ देर तो ठहरूँ
अभी अपने लिए उस आँख में आँसू कमाने हैं
तुझे भी इश्क़ में हरगिज़ नहीं कुछ नाम करना है
मुझे भी कोशिशें करके कहाँ पर्वत झुकाने हैं
ज़माने से नहीं वाक़िफ़ अभी नादान हूँ माना
मगर इक दिन सलीक़े ज़िन्दगी के आ ही जाने हैं
चराग़ों! बुझ रहे हो क्यों तुम्हें जलना सहर तक है
अभी तो रात बाक़ी है अभी कुछ ग़म भुलाने हैं
हवाओं मत बुझाओ तुम दिया मेरी उमीदों का
भटकते हैं मुसाफ़िर जो इसी रस्ते से आने हैं
भिगोना छोड़कर दामन करो कुछ यूँ मेरे अश्कों!
ज़रा आतिश में ढल जाओ कि उसके ख़त जलाने हैं
तुम्हीं-तुम हो कहानी में हमारे नाम पर 'माहिर'
तुम्हारे नाम पर देखो यहाँ कितने फ़साने हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pradeep Rajput 'Mahir'
our suggestion based on Pradeep Rajput 'Mahir'
As you were reading Kashmir Shayari Shayari