jahaan thodi si talkhi ho wahin to pyaar hota hai
chaman mahfooz rehta hai agar pur-khaar hota hai
sabak jisko wafa ka yaad rehta hai saleeqe se
muhabbat mein wahin ruswa sar-e-bazaar hota hai
mujhe maaloom hai vo saath mera kuchh na dega par
main phir bhi saath chalta hoon agar darkaar hota hai
sukhon ke saathiyo ko main kahoon ahbaab bhi kaise
badha de haath mushkil mein wahin to yaar hota hai
sehar sunsaan aangan mein naya kuchh bhi nahin laati
wahin ik chaai ki pyaali wahin akhbaar hota hai
tabassum tair jaata hai hamaare khushk honthon par
tumhaara bhaga jaana kahaan bekar hota hai
ki kyun khaamosh baithe ho kaho tum bhi to kuchh maahir
khamoshi se mukammal kya visaal-e-yaar hota hai
जहाँ थोड़ी सी तल्ख़ी हो वहीं तो प्यार होता है
चमन महफ़ूज़ रहता है अगर पुर-ख़ार होता है
सबक़ जिसको वफ़ा का याद रहता है सलीक़े से
मुहब्बत में वही रुसवा सर-ए-बाज़ार होता है
मुझे मालूम है वो साथ मेरा कुछ न देगा पर
मैं फिर भी साथ चलता हूँ अगर दरकार होता है
सुखों के साथियों को मैं कहूँ अहबाब भी कैसे
बढ़ा दे हाथ मुश्किल में वही तो यार होता है
सहर सुनसान आँगन में नया कुछ भी नहीं लाती
वही इक चाय की प्याली वही अख़बार होता है
तबस्सुम तैर जाता है हमारे ख़ुश्क होंठों पर
तुम्हारा रूठकर जाना कहाँ बेकार होता है
कि क्यों ख़ामोश बैठे हो कहो तुम भी तो कुछ 'माहिर'
ख़मोशी से मुकम्मल क्या विसाल-ए-यार होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pradeep Rajput 'Mahir'
our suggestion based on Pradeep Rajput 'Mahir'
As you were reading Bhai Shayari Shayari