dhhaate hain ab vo zulm-o-sitam kam bahut hi kam
ya'ni hai un ka lutf-o-karam kam bahut hi kam
jis raah mein hain ranj-o-alam kam bahut hi kam
uthte hain us pe mere qadam kam bahut hi kam
is se muraad ye to nahin dil hai mutmain
maana hai meri aankh mein nam kam bahut hi kam
ai dost aur hai tira dil aur hi zabaan
ab tujh ko munh lagaaenge ham kam bahut hi kam
fard-e-gunaah dekh ke yaarab saza na de
niyyat meri hai is mein raqam kam bahut hi kam
haq-go ki baat baat ko izhaar-e-haq samajh
khaaye agar khuda ki qasam kam bahut hi kam
rindon ke dam se shaikh hua chaand eed ka
aata hai waaz karne ko kam kam bahut hi kam
ab faaqa-mastiyon se ye aadat si ho gai
khaata hoon rizq ki bhi qasam kam bahut hi kam
saaqi ki chashm-e-mast ki hai baat hi kuchh aur
hai us ke aage baada-e-jam kam bahut hi kam
ai qais agar zameen-e-ghazal ho na sanglaakh
chalta hai us mein paa-e-qalam kam bahut hi kam
ढाते हैं अब वो ज़ुल्म-ओ-सितम कम बहुत ही कम
या'नी है उन का लुत्फ़-ओ-करम कम बहुत ही कम
जिस राह में हैं रंज-ओ-अलम कम बहुत ही कम
उठते हैं उस पे मेरे क़दम कम बहुत ही कम
इस से मुराद ये तो नहीं दिल है मुतमइन
माना है मेरी आँख में नम कम बहुत ही कम
ऐ दोस्त और है तिरा दिल और ही ज़बाँ
अब तुझ को मुँह लगाएँगे हम कम बहुत ही कम
फ़र्द-ए-गुनाह देख के यारब सज़ा न दे
निय्यत मिरी है इस में रक़म कम बहुत ही कम
हक़-गो की बात बात को इज़हार-ए-हक़ समझ
खाए अगर ख़ुदा की क़सम कम बहुत ही कम
रिंदों के दम से शैख़ हुआ चाँद ईद का
आता है वा'ज़ करने को कम कम बहुत ही कम
अब फ़ाक़ा-मस्तियों से ये आदत सी हो गई
खाता हूँ रिज़्क़ की भी क़सम कम बहुत ही कम
साक़ी की चश्म-ए-मस्त की है बात ही कुछ और
है उस के आगे बादा-ए-जम कम बहुत ही कम
ऐ क़ैस अगर ज़मीन-ए-ग़ज़ल हो न संगलाख़
चलता है उस में पा-ए-क़लम कम बहुत ही कम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qais Jalandhari
our suggestion based on Qais Jalandhari
As you were reading Nigaah Shayari Shayari