ilzaam kuchh na kuchh to mere sar bhi aayega | इल्ज़ाम कुछ न कुछ तो मिरे सर भी आएगा

  - Qaisar Siddiqi

ilzaam kuchh na kuchh to mere sar bhi aayega
aangan mein ped hoga to patthar bhi aayega

suraj ke ghusl karne ka manzar bhi aayega
in junglon ke ba'ad samundar bhi aayega

saamaan zaraahaton ke bhi ham saath le chalen
is raaste mein shehr-e-sitmgar bhi aayega

vo saanp jis ko doodh pilaati hai dushmani
thaili se ek roz vo baahar bhi aayega

palkon pe apni khwaab-e-tajalli sajaaiye
shaam aayi hai to raat ka lashkar bhi aayega

jo saaya khelta hai abhi meri god mein
ik din vo mere qad ke barabar bhi aayega

is dopahar ki dhoop ko shaayad khabar nahin
sehra mein koi mom ka paikar bhi aayega

jab tum nahin to us ka bhi kya kaam hai yahan
tum aaoge to bazm mein qaisar bhi aayega

इल्ज़ाम कुछ न कुछ तो मिरे सर भी आएगा
आँगन में पेड़ होगा तो पत्थर भी आएगा

सूरज के ग़ुस्ल करने का मंज़र भी आएगा
इन जंगलों के बा'द समुंदर भी आएगा

सामाँ जराहतों के भी हम साथ ले चलें
इस रास्ते में शहर-ए-सितमगर भी आएगा

वो साँप जिस को दूध पिलाती है दुश्मनी
थैली से एक रोज़ वो बाहर भी आएगा

पलकों पे अपनी ख़्वाब-ए-तजल्ली सजाइए
शाम आई है तो रात का लश्कर भी आएगा

जो साया खेलता है अभी मेरी गोद में
इक दिन वो मेरे क़द के बराबर भी आएगा

इस दोपहर की धूप को शायद ख़बर नहीं
सहरा में कोई मोम का पैकर भी आएगा

जब तुम नहीं तो उस का भी क्या काम है यहाँ
तुम आओगे तो बज़्म में 'क़ैसर' भी आएगा

  - Qaisar Siddiqi

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Siddiqi

As you were reading Shayari by Qaisar Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari