kahaan ho ghalibo meero nazeero | कहाँ हो ग़ालिबो, मीरो 'नज़ीरो'

  - Qaisar Siddiqi

kahaan ho ghalibo meero nazeero
kahaan ho meri zulfon ke aseero
meri sahaba ke paimaano kahaan ho
kahaan ho mere deewano kahaan ho
kahaan ho aalimo masnad-nashino
mere khwaan-e-ata ke rezaa-cheeno
sila kuchh to wafa ka do kahaan ho
kahaan ho mere shahzaado kahaan ho
kahaan ho ai mere dar ke gadaao
kam-az-kam apni soorat to dikhaao
ki mein laachaar ho kar rah gai hoon
bahut beemaar ho kar rah gai hoon
kahaan ho ai qalam-kaaro jiyaalo
mujhe kursi-nashino se bacha lo
ye mujh se door hote ja rahe hain
bahut maghroor hote ja rahe hain
meri roti pe hota hai guzaara
magar chhodaa hai mujh ko be-sahaara
sila apni wafa ka pa chuki hoon
mein un ke ghar se raandi ja chuki hoon
haqeeqat hai ki mein us ki ameen hoon
ye ghar mera hai lekin main nahin hoon
mere hi naam se ohda mila hai
mere sadqe mein in ka tan-tana hai
magar ye mujh ko khaate ja rahe hain
meri hasti mitaate ja rahe hain
suhaagan thi abhaagan ho gai hoon
mein dar dar ki bhikaaran ho gai hoon

कहाँ हो ग़ालिबो, मीरो 'नज़ीरो'
कहाँ हो मेरी ज़ुल्फ़ों के असीरो
मेरी सहबा के पैमानौ, कहाँ हो
कहाँ हो मेरे दीवानो कहाँ हो
कहाँ हो आलिमो मसनद-नशीनो
मिरे ख़्वान-ए-अता के रेज़ा-चीनो!
सिला कुछ तो वफ़ा का दो कहाँ हो
कहाँ हो मेरे शहज़ादो कहाँ हो
कहाँ हो ऐ मिरे दर के गदाओ
कम-अज़-कम अपनी सूरत तो दिखाओ
कि में लाचार हो कर रह गई हूँ
बहुत बीमार हो कर रह गई हूँ
कहाँ हो ऐ क़लम-कारो, जियालो?
मुझे कुर्सी-नशीनों से बचा लो
ये मुझ से दूर होते जा रहे हैं
बहुत मग़रूर होते जा रहे हैं
मिरी रोटी पे होता है गुज़ारा
मगर छोड़ा है मुझ को बे-सहारा
सिला अपनी वफ़ा का पा चुकी हूँ
में उन के घर से राँदी जा चुकी हूँ
हक़ीक़त है कि में उस की अमीं हूँ
ये घर मेरा है लेकिन मैं नहीं हूँ
मिरे ही नाम से ओहदा मिला है
मिरे सदक़े में इन का तनतना है
मगर ये मुझ को खाते जा रहे हैं
मिरी हस्ती मिटाते जा रहे हैं
सुहागन थी अभागन हो गई हूँ
में दर दर की भिकारन हो गई हूँ

  - Qaisar Siddiqi

Bebas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Siddiqi

As you were reading Shayari by Qaisar Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Bebas Shayari Shayari