kya kahoon zakham kitna gahra hai
door tak sirf mahaj sehra hai
har qadam par bagule raksaan hain
raah mein har-soo sholay raksaan hain
na shajar hai na koi saaya hai
koi chashma na koi dariya hai
dhoop sar par barasti rahti hai
pyaas lab par larzatee rahti hai
teergi chashm-e-tar pe taari hai
aur safar hai ki phir bhi jaari hai
क्या कहूँ ज़ख़्म कितना गहरा है
दूर तक सिर्फ़ महज़ सहरा है
हर क़दम पर बगूले रक़्साँ हैं
राह में हर-सू शो'ले रक़्साँ हैं
न शजर है न कोई साया है
कोई चश्मा न कोई दरिया है
धूप सर पर बरसती रहती है
प्यास लब पर लरज़ती रहती है
तीरगी चश्म-ए-तर पे तारी है
और सफ़र है कि फिर भी जारी है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Qaisar Ziya Qaisar
As you were reading Raasta Shayari Shayari