khat zameen par na ai fusoon-gar kaat | ख़त ज़मीं पर न ऐ फ़ुसूँ-गर काट

  - Qalaq Merathi

khat zameen par na ai fusoon-gar kaat
dard-e-sar kaatna hai to sar kaat

gar likhoon us ko naama-e-ulfat
harf-e-matlab ko de muqaddar kaat

qatl se mere gar phire qaateel
daant se luun zabaan-e-khanjar kaat

gar hai bedaad hi pasand tujhe
gardan-e-ghair ai sitam-gar kaat

gham-e-barq-o-tagarg ko na khareed
kisht-e-ummeed ko saraasar kaat

waqt-e-day zer-e-khaar-zaar guzaar
mausam-e-gul tah-e-gul-e-tar kaat

pa-e-mardi se dast-burd na chhod
jeb-e-shah-o-gada barabar kaat

quwwat-e-hazm hai ba-qadr-e-zarf
kya kare mauj-e-aab-e-gohar kaat

sabr-o-tasleem hi ke andar rah
umr ranj-o-khushi se baahar kaat

tegh-e-burraan-e-waqt se har dam
rishta-e-aarzoo ko yak-sar kaat

mat bana ghar chaman ke andar kaat
mat laga dil gul-o-sanobar kaat

aashiyaan ke liye chaman ka se
murgh-e-hirs-o-hawaa ka har par kaat

qadr-e-aaraam kuchh to kar maaloom
roz dushwaar raat doobhar kaat

shart kuchh teg baandhna hi nahin
zeest ko aaye jo mayassar kaat

ai qalq ranj ho ki ho aaraam
kaat jaise kate subuk-tar kaat

ख़त ज़मीं पर न ऐ फ़ुसूँ-गर काट
दर्द-ए-सर काटना है तो सर काट

गर लिखूँ उस को नामा-ए-उल्फ़त
हर्फ़-ए-मतलब को दे मुक़द्दर काट

क़त्ल से मेरे गर फिरे क़ातिल
दाँत से लूँ ज़बान-ए-ख़ंजर काट

गर है बेदाद ही पसंद तुझे
गर्दन-ए-ग़ैर ऐ सितम-गर काट

ग़म-ए-बर्क़-ओ-तगर्ग को न ख़रीद
किश्त-ए-उम्मीद को सरासर काट

वक़्त-ए-दय ज़ेर-ए-ख़ार-ज़ार गुज़ार
मौसम-ए-गुल तह-ए-गुल-ए-तर काट

पा-ए-मर्दी से दस्त-बुर्द न छोड़
जेब-ए-शाह-ओ-गदा बराबर काट

क़ुव्वत-ए-हज़्म है ब-क़द्र-ए-ज़र्फ़
क्या करे मौज-ए-आब-ए-गौहर काट

सब्र-ओ-तस्लीम ही के अंदर रह
उम्र रंज-ओ-ख़ुशी से बाहर काट

तेग़-ए-बुर्रान-ए-वक़्त से हर दम
रिश्ता-ए-आरज़ू को यक-सर काट

मत बना घर चमन के अंदर काट
मत लगा दिल गुल-ओ-सनोबर काट

आशियाँ के लिए चमन का से
मुर्ग़-ए-हिर्स-ओ-हवा का हर पर काट

क़दर-ए-आराम कुछ तो कर मालूम
रोज़ दुश्वार रात दूभर काट

शर्त कुछ तेग़ बाँधना ही नहीं
ज़ीस्त को आए जो मयस्सर काट

ऐ 'क़लक़' रंज हो कि हो आराम
काट जैसे कटे सुबुक-तर काट

  - Qalaq Merathi

Ijazat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qalaq Merathi

As you were reading Shayari by Qalaq Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Qalaq Merathi

Similar Moods

As you were reading Ijazat Shayari Shayari