hai khamoshi-e-intizaar bala | है ख़मोशी-ए-इंतिज़ार बला

  - Qalaq Merathi

hai khamoshi-e-intizaar bala
ast hai ek chup hazaar bala

dekh le ik nazar ki hai manzoor
sad-tabaahi o sad-hazaar bala

dilbari par hai jaan-faza be-daad
dil-dahee par hai jaan-nisaar bala

hijr mein aasmaan mudaaraai
vasl mein hai sateeza-kaar bala

kaj-kulaahi ka hum-nasheen fitna
kham-e-gesoo ki dost-daar bala

aa gai sar pe aqibat aafat
ho gai chashm-e-intizaar bala

hai fida mujh pe aasmaan goya
vaar vaar aayi baar baar bala

mujh sa paamaal-e-rozgaar hai kaun
khajil aafat hai sharm-saar bala

daagh ka mere dard-kash sadma
dard ki mere raaz-daar bala

sehan-e-gulshan ki sham-e-bazm hai barq
naujawaani ki hai bahaar bala

ai qalq aasre ka kya jeena
zindagi hai maal-e-kaar bala

है ख़मोशी-ए-इंतिज़ार बला
अस्त है एक चुप हज़ार बला

देख ले इक नज़र कि है मंज़ूर
सद-तबाही ओ सद-हज़ार बला

दिलबरी पर है जाँ-फ़ज़ा बे-दाद
दिल-दही पर है जाँ-निसार बला

हिज्र में आसमाँ मुदाराई
वस्ल में है सतीज़ा-कार बला

कज-कुलाही का हम-नशीं फ़ित्ना
ख़म-ए-गेसू की दोस्त-दार बला

आ गई सर पे आक़िबत आफ़त
हो गई चश्म-ए-इन्तिज़ार बला

है फ़िदा मुझ पे आसमाँ गोया
वार वार आई बार बार बला

मुझ सा पामाल-ए-रोज़गार है कौन
ख़जिल आफ़त है शर्म-सार बला

दाग़ का मेरे दर्द-कश सदमा
दर्द की मेरे राज़-दार बला

सेहन-ए-गुलशन की शम-ए-बज़्म है बर्क़
नौजवानी की है बहार बला

ऐ 'क़लक़' आसरे का क्या जीना
ज़िंदगी है मआल-ए-कार बला

  - Qalaq Merathi

Bijli Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qalaq Merathi

As you were reading Shayari by Qalaq Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Qalaq Merathi

Similar Moods

As you were reading Bijli Shayari Shayari