doori mein kyun ki ho na tamannaa huzoor ki | दूरी में क्यूँ कि हो न तमन्ना हुज़ूर की

  - Qalaq Merathi

doori mein kyun ki ho na tamannaa huzoor ki
manzil ko meri qurb se nisbat hai door ki

furqat ne us ki vasl ki tashveesh door ki
taskin nahin hai yun bhi dil-e-na-suboor ki

moosa ke sar pe paanv hai ahl-e-nigaah ka
us ki gali mein khaak udri koh-e-toor ki

kehta hai anjuman ko tiri khuld muddai
is bul-hawas ke dil mein tamannaa hai hoor ki

waiz ne may-kade ko jo dekha to jal gaya
faila gaya charaand sharaab-e-tahoor ki

moosa ko kyun na mauj-e-tajalli dhakel de
jalwe se us ke gul hui mash'al shu'ur ki

arbaab-e-waqt jaante hain rozgaar ne
ki sahv se wafa to talaafi zaroor ki

ruswaaiyon ka hausla ghat ghat ke badh gaya
saamaan hai khaamoshi meri shor-e-nushoor ki

mel aasmaan ka soo-e-zameen be-sabab nahin
zer-e-qadam jagah hai sar-e-pur-ghuroor ki

us se na miliye jis se mile dil tamaam umr
soojhi hamein bhi hijr mein aakhir ko door ki

paamaal kar raha hai siyah-roziyon ka josh
mitti kharab hai mere kalbe mein noor ki

kya ek qurb-e-ghair ka sadma na poochiye
hain dil ke aas paas bala door door ki

mazmoon mere udaaye qalq sab ne is qadar
sunta hoon main taraana zabaani tuyoor ki

दूरी में क्यूँ कि हो न तमन्ना हुज़ूर की
मंज़िल को मेरी क़ुर्ब से निस्बत है दूर की

फ़ुर्क़त ने उस की वस्ल की तशवीश दूर की
तस्कीं नहीं है यूँ भी दिल-ए-ना-सुबूर की

मूसा के सर पे पाँव है अहल-ए-निगाह का
उस की गली में ख़ाक उड़ी कोह-ए-तूर की

कहता है अंजुमन को तिरी ख़ुल्द मुद्दई
इस बुल-हवस के दिल में तमन्ना है हूर की

वाइज़ ने मय-कदे को जो देखा तो जल गया
फैला गया चराँद शराब-ए-तहूर की

मूसा को क्यूँ न मौज-ए-तजल्ली धकेल दे
जल्वे से उस के गुल हुई मशअ'ल शुऊ'र की

अरबाब-ए-वक़्त जानते हैं रोज़गार ने
की सहव से वफ़ा तो तलाफ़ी ज़रूर की

रुस्वाइयों का हौसला घट घट के बढ़ गया
सामाँ है ख़ामुशी मिरी शोर-ए-नुशूर की

मेल आसमाँ का सू-ए-ज़मीं बे-सबब नहीं
ज़ेर-ए-क़दम जगह है सर-ए-पुर-ग़ुरूर की

उस से न मिलिए जिस से मिले दिल तमाम उम्र
सूझी हमें भी हिज्र में आख़िर को दूर की

पामाल कर रहा है सियह-रोज़ियों का जोश
मिट्टी ख़राब है मिरे कलबे में नूर की

क्या एक क़ुर्ब-ए-ग़ैर का सदमा न पोछिए
हैं दिल के आस पास बला दूर दूर की

मज़मूँ मिरे उड़ाए 'क़लक़' सब ने इस क़दर
सुनता हूँ मैं तराना ज़बानी तुयूर की

  - Qalaq Merathi

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qalaq Merathi

As you were reading Shayari by Qalaq Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Qalaq Merathi

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari