jo pad gai thi girah dil mein khholte ham bhi
vo baat karta to kuchh us se bolte ham bhi
hawa ko kis ne chhua hai jo tujh ko choo paate
khala mein firte hain rasta tatolte ham bhi
kahaan pe thehre ki maanind-e-barg-e-aawaara
hawa ke dosh pe firte hain dolte ham bhi
andhera shehar ki galiyon ka ghar mein dar aata
zara jo raat ko darwaaza khholte ham bhi
qamar ye lutf na jeene ka phir hamein aata
lahu main zahar agar khud na gholtе ham bhi
जो पड़ गई थी गिरह दिल में खोलते हम भी
वो बात करता तो कुछ उस से बोलते हम भी
हवा को किस ने छुआ है जो तुझ को छू पाते
ख़ला में फिरते हैं रस्ता टटोलते हम भी
कहाँ पे ठहरें कि मानिंद-ए-बर्ग-ए-आवारा
हवा के दोश पे फिरते हैं डोलते हम भी
अंधेरा शहर की गलियों का घर में दर आता
ज़रा जो रात को दरवाज़ा खोलते हम भी
'क़मर' ये लुत्फ़ न जीने का फिर हमें आता
लहू मैं ज़हर अगर ख़ुद न घोलते हम भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Iqbal
our suggestion based on Qamar Iqbal
As you were reading Gaon Shayari Shayari