bichhad gaya hai kahaan kaun kuchh pata hi nahin
safar mein jaise koi apne saath tha hi nahin
kisi se rabt badhaayein tu mat khafa hona
ki dil mein ab tiri yaadon ka silsila hi nahin
sab apne apne maseeha ke intizaar mein hain
kisi ka jaise zamaane mein ab khuda hi nahin
ik umr kat gai kaaghaz siyaah karte hue
qalam ko apne jo likhna tha vo likha hi nahin
qamar vo shakhs hamaare nagar mein kya aaya
buton ko bhi hai gila koi poojta hi nahin
बिछड़ गया है कहाँ कौन कुछ पता ही नहीं
सफ़र में जैसे कोई अपने साथ था ही नहीं
किसी से रब्त बढ़ाएँ तू मत ख़फ़ा होना
कि दिल में अब तिरी यादों का सिलसिला ही नहीं
सब अपने अपने मसीहा के इंतिज़ार में हैं
किसी का जैसे ज़माने में अब ख़ुदा ही नहीं
इक उम्र कट गई काग़ज़ सियाह करते हुए
क़लम को अपने जो लिखना था वो लिखा ही नहीं
'क़मर' वो शख़्स हमारे नगर में क्या आया
बुतों को भी है गिला कोई पूजता ही नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Iqbal
our suggestion based on Qamar Iqbal
As you were reading Rahbar Shayari Shayari