sab pighal jaaye tamasha vo idhar kab hoga
mom ke shehar se suraj ka guzar kab hoga
khwaab kaaghaz ke safeene hain bachaayein kaise
khatm is aag ke dariya ka safar kab hoga
jis ka naqsha hai mere zehan mein ik muddat se
ghar vo taameer se pehle hi khandar kab hoga
mere khoye hue mahvar pe jo pahunchaaye mujhe
ab lahu mein mere paida vo bhanwar kab hoga
sabz rakha hai jise main ne lahu de ke qamar
meherbaan dhoop mein aakhir vo shajar kab hoga
सब पिघल जाए तमाशा वो इधर कब होगा
मोम के शहर से सूरज का गुज़र कब होगा
ख़्वाब काग़ज़ के सफ़ीने हैं बचाएँ कैसे
ख़त्म इस आग के दरिया का सफ़र कब होगा
जिस का नक़्शा है मिरे ज़ेहन में इक मुद्दत से
घर वो तामीर से पहले ही खंडर कब होगा
मेरे खोए हुए महवर पे जो पहुँचाए मुझे
अब लहू में मिरे पैदा वो भँवर कब होगा
सब्ज़ रक्खा है जिसे मैं ने लहू दे के 'क़मर'
मेहरबाँ धूप में आख़िर वो शजर कब होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Iqbal
our suggestion based on Qamar Iqbal
As you were reading Chaand Shayari Shayari