hansati hui tanhaa vo dariche mein khadi hai | हँसती हुई तन्हा वो दरीचे में खड़ी है

  - Qamar Iqbal

hansati hui tanhaa vo dariche mein khadi hai
ladki hai ki tarshe hue heero ki ladi hai

sone ka ye andaaz hai khafgi ki alaamat
chehra kiye deewaar ki jaanib vo padi hai

kohre mein ghiri shaam ki doli se utar kar
tanhaai ki chaukhat pe tiri yaar khadi hai

dil umr ke qaanoon ka qaail nahin warna
ehsaas use bhi hai ki vo mujh se badi hai

aankhon mein tire gham ka hai hansta hua mausam
dil mein tiri yaadon ki hari fasl khadi hai

paabandi-e-auqaat hui us se na hogi
har chand ki naazuk se kalaaee mein ghadi hai

maqtool ko kar aaye jahaan dafn qamar log
talwaar bhi qaateel ki wahin par to gadi hai

हँसती हुई तन्हा वो दरीचे में खड़ी है
लड़की है कि तर्शे हुए हीरों की लड़ी है

सोने का ये अंदाज़ है ख़फ़्गी की अलामत
चेहरा किए दीवार की जानिब वो पड़ी है

कोहरे में घिरी शाम की डोली से उतर कर
तन्हाई की चौखट पे तिरी यार खड़ी है

दिल उम्र के क़ानून का क़ाइल नहीं वर्ना
एहसास उसे भी है कि वो मुझ से बड़ी है

आँखों में तिरे ग़म का है हँसता हुआ मौसम
दिल में तिरी यादों की हरी फ़स्ल खड़ी है

पाबंदी-ए-औक़ात हुई उस से न होगी
हर चंद कि नाज़ुक से कलाई में घड़ी है

मक़्तूल को कर आए जहाँ दफ़्न 'क़मर' लोग
तलवार भी क़ातिल की वहीं पर तो गड़ी है

  - Qamar Iqbal

Tanhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Iqbal

As you were reading Shayari by Qamar Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Iqbal

Similar Moods

As you were reading Tanhai Shayari Shayari