khud ki khaatir na zamaane ke liye zinda hoon | ख़ुद की ख़ातिर न ज़माने के लिए ज़िंदा हूँ

  - Qamar Iqbal

khud ki khaatir na zamaane ke liye zinda hoon
qarz mitti ka chukaane ke liye zinda hoon

kis ko furqat jo meri baat sune zakham gine
khaak hoon khaak udaane ke liye zinda hoon

log jeene ke ghargz-mand bahut hain lekin
main maseeha ko bachaane ke liye zinda hoon

rooh aawaara na bhatke ye kisi ki khaatir
saare rishton ko bhulaane ke liye zinda hoon

khwaab toote hue roothe hue lamhe vo qamar
bojh kitne hi uthaane ke liye zinda hoon

ख़ुद की ख़ातिर न ज़माने के लिए ज़िंदा हूँ
क़र्ज़ मिट्टी का चुकाने के लिए ज़िंदा हूँ

किस को फ़ुर्सत जो मिरी बात सुने ज़ख़्म गिने
ख़ाक हूँ ख़ाक उड़ाने के लिए ज़िंदा हूँ

लोग जीने के ग़रज़-मंद बहुत हैं लेकिन
मैं मसीहा को बचाने के लिए ज़िंदा हूँ

रूह आवारा न भटके ये किसी की ख़ातिर
सारे रिश्तों को भुलाने के लिए ज़िंदा हूँ

ख़्वाब टूटे हुए रूठे हुए लम्हे वो 'क़मर'
बोझ कितने ही उठाने के लिए ज़िंदा हूँ

  - Qamar Iqbal

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Iqbal

As you were reading Shayari by Qamar Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Iqbal

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari