ek deewaar agar ho to yahan sar maarein
ek deewaar ke peeche hain kai deewarein
ham ko lautaa de hamaara vo puraana chehra
zindagi tere liye roop kahaan tak dhaarein
paas kuchh apne bacha hai to yahi ik lamha
aakhiri daav hai jeeten ki ye baazi haaren
tum kabhi aag mein pal bhar to utar ke dekho
kaun kehta hai ki sholon mein nahin mehkaare'n
qaid hain kaun se zindaan mein na jaane ham log
roz unchi hui jaati hain qamar deewarein
एक दीवार अगर हो तो यहाँ सर मारें
एक दीवार के पीछे हैं कई दीवारें
हम को लौटा दे हमारा वो पुराना चेहरा
ज़िंदगी तेरे लिए रूप कहाँ तक धारें
पास कुछ अपने बचा है तो यही इक लम्हा
आख़िरी दाव है जीतें कि ये बाज़ी हारें
तुम कभी आग में पल भर तो उतर के देखो
कौन कहता है कि शोलों में नहीं महकारें
क़ैद हैं कौन से ज़िंदाँ में न जाने हम लोग
रोज़ ऊँची हुई जाती हैं 'क़मर' दीवारें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Iqbal
our suggestion based on Qamar Iqbal
As you were reading Tasweer Shayari Shayari