kahi ye dard ka dhaaga bhi yun suljhta hai | कहीं ये दर्द का धागा भी यूँ सुलझता है

  - Qamar Iqbal

kahi ye dard ka dhaaga bhi yun suljhta hai
girah jo khole to dil aur bhi uljhta hai

vo ek baat jo dil mein hai mere us ke liye
zabaan se kehta nahin vo magar samajhta hai

main teri aankhon ki ye pyaas kis tarah dekhoon
mere vujood mein baadal koi tript hai

ajeeb cheez hai ye khoobi-e-khutoot-e-badan
koi libaas ho us ke badan pe sajta hai

ye raat aur ye dasti hui si tanhaai
lahu ka saaz qamar tan-badan mein bajta hai

कहीं ये दर्द का धागा भी यूँ सुलझता है
गिरह जो खोलें तो दिल और भी उलझता है

वो एक बात जो दिल में है मेरे उस के लिए
ज़बाँ से कहता नहीं वो मगर समझता है

मैं तेरी आँखों की ये प्यास किस तरह देखूँ
मिरे वजूद में बादल कोई गरजता है

अजीब चीज़ है ये ख़ूबी-ए-ख़ुतूत-ए-बदन
कोई लिबास हो उस के बदन पे सजता है

ये रात और ये डसती हुई सी तन्हाई
लहू का साज़ 'क़मर' तन-बदन में बजता है

  - Qamar Iqbal

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Iqbal

As you were reading Shayari by Qamar Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Iqbal

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari