main talash kar rahi thi gham-e-dil ka kuchh bahaana
meri raah mein ye naahak kahaan aa gaya zamaana
mere haal par karam kar kabhi dost ghaaibaana
vo sukoon bakhsh dil ko ki tadap uthe zamaana
hai tawaaf ab bhi jaari tire aastaan ka lekin
nahin mil saka jabeen ko tira sang-e-aastaana
tiri baargaah tak ho meri kis tarah rasai
mujhe di gai gadaai tujhe takht-e-khusrawaana
main tadap tadap ke gham mein rahi be-qaraar-o-muztar
mere dil ki dhadkano ko nahin sun saka zamaana
mera shauq-e-sajda-rezi hai hanooz naa-mukammal
mujhe koi ye bata de hai kahaan vo aastaana
mere gham ki zindagi par mere haal-e-bekasi par
kabhi rehm un ko aaye kabhi ro pade zamaana
kai baar aa ke bijli giri sehan-e-gulsitaan par
ye rahi hamaari qismat ki jala na aashiyana
mujhe hosh hi nahin kuchh ki main shaad hoon ki naashaad
hai suroor-e-may se badh kar mera zaauq-e-sha'iraana
मैं तलाश कर रही थी ग़म-ए-दिल का कुछ बहाना
मिरी राह में ये नाहक़ कहाँ आ गया ज़माना
मिरे हाल पर करम कर कभी दोस्त ग़ाएबाना
वो सुकून बख़्श दिल को कि तड़प उठे ज़माना
है तवाफ़ अब भी जारी तिरे आस्ताँ का लेकिन
नहीं मिल सका जबीं को तिरा संग-ए-आस्ताना
तिरी बारगाह तक हो मिरी किस तरह रसाई
मुझे दी गई गदाई तुझे तख़्त-ए-ख़ुसरवाना
मैं तड़प तड़प के ग़म में रही बे-क़रार-ओ-मुज़्तर
मिरे दिल की धड़कनों को नहीं सुन सका ज़माना
मिरा शौक़-ए-सज्दा-रेज़ी है हनूज़ ना-मुकम्मल
मुझे कोई ये बता दे है कहाँ वो आस्ताना
मिरे ग़म की ज़िंदगी पर मिरे हाल-ए-बेकसी पर
कभी रहम उन को आए कभी रो पड़े ज़माना
कई बार आ के बिजली गिरी सेहन-ए-गुलसिताँ पर
ये रही हमारी क़िस्मत कि जला न आशियाना
मुझे होश ही नहीं कुछ कि मैं शाद हूँ कि 'नाशाद'
है सुरूर-ए-मय से बढ़ कर मिरा ज़ौक़-ए-शाइ'राना
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Raabia Sultana Nashad
As you were reading Raasta Shayari Shayari