bahut mayus hone par ye dil ke toot jaane par | बहुत मायूस होने पर ये दिल के टूट जाने पर

  - Rachit Sonkar

bahut mayus hone par ye dil ke toot jaane par
zamaana haal poochhega magar aansu bahaane par

sabhi aashiq muhabbat ke ghamo ko baat lete hain
kisi se kuchh nahin kahte ye apna dil jalane par

khabar sun kar tere aane ki ham sajte sanvarte hain
wagarana hamko kya matlab kisi ke aane jaane par

mera dil raqs karta hai khushi se jhoom uthata hai
tere jhumke tere kangan teri paayal ke gaane par

tujhe paane ki hasrat mein sabhi kuchh haar baithe hain
ki hamne daanv khele hain hazaaron ik khazaane par

meri nazre mili tujhse teri nazre mili mujhse
idhar main hoon nishaane par udhar tu hai nishaane par

बहुत मायूस होने पर ये दिल के टूट जाने पर
ज़माना हाल पूछेगा मगर आँसू बहाने पर

सभी आशिक़ मुहब्बत के ग़मो को बाट लेते हैं
किसी से कुछ नहीं कहते ये अपना दिल जलाने पर

ख़बर सुन कर तेरे आने की हम सजते सँवरते हैं
वगरना हमको क्या मतलब किसी के आने जाने पर

मेरा दिल रक़्स करता है ख़ुशी से झूम उठता है
तेरे झुमके, तेरे कंगन, तेरी पायल के गाने पर

तुझे पाने की हसरत में सभी कुछ हार बैठे हैं
कि हमने दाँव खेले हैं हज़ारों इक ख़ज़ाने पर

मेरी नज़रे मिली तुझसे तेरी नज़रे मिली मुझसे
इधर मैं हूँ निशाने पर उधर तू है निशाने पर

  - Rachit Sonkar

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rachit Sonkar

As you were reading Shayari by Rachit Sonkar

Similar Writers

our suggestion based on Rachit Sonkar

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari