hayaat-e-ishq ki khurshid-samaani nahin jaati
mita jaata hai dil zarroon ki tabaani nahin jaati
jo kal tak khel samjhe the hamein barbaad kar dena
ab un maghroor nazaron ki pashemaani nahin jaati
humeen par lutf ki baarish hai lekin waaye-naadaani
humeen se vo nigaah-e-lutf pahchaani nahin jaati
watan kya jurat-e-ahl-e-junoon se ho gaya khaali
khird ki quwwat-e-tajdeed-e-veeraani nahin jaati
bahaar aayi khile gunche magar ai naazim-e-gulshan
hamaare aashiyaan ki shola-saamaani nahin jaati
meri sahaba ki azmat sirf ahl-e-dil samjhte hain
piye jaata hoon lekin paak-damaani nahin jaati
ye kis kaafir-ada ka jalwa-e-maasoom dekha hai
raeis ab tak meri nazaron ki hairaani nahin jaati
हयात-ए-इश्क़ की ख़ुर्शीद-सामानी नहीं जाती
मिटा जाता है दिल ज़र्रों की ताबानी नहीं जाती
जो कल तक खेल समझे थे हमें बर्बाद कर देना
अब उन मग़रूर नज़रों की पशेमानी नहीं जाती
हमीं पर लुत्फ़ की बारिश है लेकिन वाए-नादानी
हमीं से वो निगाह-ए-लुत्फ़ पहचानी नहीं जाती
वतन क्या जुरअत-ए-अहल-ए-जुनूँ से हो गया ख़ाली
ख़िरद की क़ुव्वत-ए-तज्दीद-ए-वीरानी नहीं जाती
बहार आई खिले ग़ुंचे मगर ऐ नाज़िम-ए-गुलशन
हमारे आशियाँ की शो'ला-सामानी नहीं जाती
मिरी सहबा की अज़्मत सिर्फ़ अहल-ए-दिल समझते हैं
पिए जाता हूँ लेकिन पाक-दामानी नहीं जाती
ये किस काफ़िर-अदा का जल्वा-ए-मासूम देखा है
'रईस' अब तक मिरी नज़रों की हैरानी नहीं जाती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raees Niyazi
our suggestion based on Raees Niyazi
As you were reading Patriotic Shayari Shayari