manzil-e-yaar be-nishaan bhi nahin
dil ho ghaafil to raaz-daan bhi nahin
barq kyun be-qaraar hai itna
ab to gulshan mein aashiyaan bhi nahin
ho nazar mein agar haqiqat-e-husn
zindagi saada dastaan bhi nahin
vo jafaon pe sharmasaar na hon
ab ye manzil mujhe garaan bhi nahin
yaar ki justuju ko kya kahiye
raayegaan bhi hai raayegaan bhi nahin
dil tak aaye to vajh-e-taskin ho
vo nazar itni meherbaan bhi nahin
allah allah suroor-e-yaad-e-habeeb
ab mujhe hijr ka gumaan bhi nahin
lab tak aa jaaye to qayamat hai
aashiqi kaar-e-be-fughaan bhi nahin
azmat-e-husn ishq se hai raeis
sar nahin hai to aastaan bhi nahin
मंज़िल-ए-यार बे-निशाँ भी नहीं
दिल हो ग़ाफ़िल तो राज़-दाँ भी नहीं
बर्क़ क्यूँ बे-क़रार है इतना
अब तो गुलशन में आशियाँ भी नहीं
हो नज़र में अगर हक़ीक़त-ए-हुस्न
ज़िंदगी सादा दास्ताँ भी नहीं
वो जफ़ाओं पे शर्मसार न हों
अब ये मंज़िल मुझे गराँ भी नहीं
यार की जुस्तुजू को क्या कहिए
राएगाँ भी है राएगाँ भी नहीं
दिल तक आए तो वजह-ए-तस्कीं हो
वो नज़र इतनी मेहरबाँ भी नहीं
अल्लाह अल्लाह सुरूर-ए-याद-ए-हबीब
अब मुझे हिज्र का गुमाँ भी नहीं
लब तक आ जाए तो क़यामत है
आशिक़ी कार-ए-बे-फ़ुग़ाँ भी नहीं
अज़्मत-ए-हुस्न इश्क़ से है 'रईस'
सर नहीं है तो आस्ताँ भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raees Niyazi
our suggestion based on Raees Niyazi
As you were reading Judai Shayari Shayari