gham jab un ka diya hua gham hai | ग़म जब उन का दिया हुआ ग़म है

  - Raees Niyazi

gham jab un ka diya hua gham hai
haif us aankh par jo pur-nam hai

dil ki awaaz laakh madhham hai
dil ki awaaz mein bada dam hai

zindagi mein sukoon ke taalib
zindagi khud hi mustaqil gham hai

un ke jaate hi ye hua mehsoos
jaise taaron mein raushni kam hai

chain hai tark-e-aarzoo ke ba'd
aarzooon ka naam hi gham hai

har nafs makhzan-e-alam hai raeis
shukr hai umr-e-aadmi kam hai

ग़म जब उन का दिया हुआ ग़म है
हैफ़ उस आँख पर जो पुर-नम है

दिल की आवाज़ लाख मद्धम है
दिल की आवाज़ में बड़ा दम है

ज़िंदगी में सुकून के तालिब
ज़िंदगी ख़ुद ही मुस्तक़िल ग़म है

उन के जाते ही ये हुआ महसूस
जैसे तारों में रौशनी कम है

चैन है तर्क-ए-आरज़ू के बअ'द
आरज़ूओं का नाम ही ग़म है

हर नफ़स मख़्ज़न-ए-अलम है 'रईस'
शुक्र है उम्र-ए-आदमी कम है

  - Raees Niyazi

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raees Niyazi

As you were reading Shayari by Raees Niyazi

Similar Writers

our suggestion based on Raees Niyazi

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari