jo noor dekhta hoon main jaam-e-sharaab mein | जो नूर देखता हूँ मैं जाम-ए-शराब में

  - Raees Niyazi

jo noor dekhta hoon main jaam-e-sharaab mein
vo aftaab mein hai na vo mahtaab mein

is tarah azm-e-zohd hai ahad-e-shabaab mein
chalne ka jaise qasd kare koi khwaab mein

meri nazar se chhup ke rahein vo hijaab mein
mere nadeem kya meh-o-anjum hain khwaab mein

mujh ko sunaaye jaate hain afsaane khuld ke
dooba hua hoon masti-e-she'r-o-sharaab mein

aakhir tilism-e-ghuncha-o-gul toot kar raha
meri nazar se chhup na sake vo hijaab mein

insaan kha raha hai fareb-e-hayaat kyun
kashti kabhi ravaan bhi hui hai saraab mein

begaana-e-nazar the humeen is ka kya ilaaj
shaamil hain rahmaten bhi kisi ke i'taab mein

har manzar-e-jameel pe go ruk gai nazar
thehre magar tumheen nigah-e-intikhaab mein

mera har ik nafs hai paayaam-e-raza-e-dost
zaahid phansa hua hai azaab-o-sawaab mein

har manzar-e-jameel ko thukra ke ai raeis
khud saamne hon apni nazar ke jawaab mein

जो नूर देखता हूँ मैं जाम-ए-शराब में
वो आफ़्ताब में है न वो माहताब में

इस तरह अज़्म-ए-ज़ोहद है अहद-ए-शबाब में
चलने का जैसे क़स्द करे कोई ख़्वाब में

मेरी नज़र से छुप के रहें वो हिजाब में
मेरे नदीम क्या मह-ओ-अंजुम हैं ख़्वाब में

मुझ को सुनाए जाते हैं अफ़्साने ख़ुल्द के
डूबा हुआ हूँ मस्ती-ए-शे'र-ओ-शराब में

आख़िर तिलिस्म-ए-ग़ुन्चा-ओ-गुल टूट कर रहा
मेरी नज़र से छुप न सके वो हिजाब में

इंसान खा रहा है फ़रेब-ए-हयात क्यूँ
कश्ती कभी रवाँ भी हुई है सराब में

बेगाना-ए-नज़र थे हमीं इस का क्या इलाज
शामिल हैं रहमतें भी किसी के इ'ताब में

हर मंज़र-ए-जमील पे गो रुक गई नज़र
ठहरे मगर तुम्हीं निगह-ए-इंतिख़ाब में

मेरा हर इक नफ़स है पयाम-ए-रज़ा-ए-दोस्त
ज़ाहिद फँसा हुआ है अज़ाब-ओ-सवाब में

हर मंज़र-ए-जमील को ठुकरा के ऐ 'रईस'
ख़ुद सामने हों अपनी नज़र के जवाब में

  - Raees Niyazi

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raees Niyazi

As you were reading Shayari by Raees Niyazi

Similar Writers

our suggestion based on Raees Niyazi

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari