ye bhool ja ki hain tere bhi gham-gusaar bahut | ये भूल जा कि हैं तेरे भी ग़म-गुसार बहुत

  - Raees Niyazi

ye bhool ja ki hain tere bhi gham-gusaar bahut
banaana kaaghazi phoolon ke khushk haar bahut

jo chashm-e-yaar hai hosh-o-khird shikaar bahut
dil-o-nazar pe hamein bhi hai ikhtiyaar bahut

ham apne waqt ki tasveer-e-maskh-soorat hain
dikhaaye ham ko na aaina rozgaar bahut

khuda vo waqt na laaye ki aazmaish ho
ta'alluqaat tumheen se hain ustuvaar bahut

kisi bhi shaakh pe jab mera aashiyaan na mila
chaman mein aaj firee barq be-qaraar bahut

dil-e-tabah ki nairangiyon ka haal na pooch
gahe qaraar bahut gaah be-qaraar bahut

hayaat nazish-e-kaunain ho to kya gham hai
vo chaar din ki sahi umr-e-mustaar. bahut

hamein to apni wafaon ka mil raha hai sila
jafa-o-jaur pe vo kyun hain sharmasaar bahut

bahut dinon se ab apni talash mein gum hain
raeis chaan chuke khaak-e-ku-e-yaar bahut

ये भूल जा कि हैं तेरे भी ग़म-गुसार बहुत
बनाना काग़ज़ी फूलों के ख़ुश्क हार बहुत

जो चश्म-ए-यार है होश-ओ-ख़िरद शिकार बहुत
दिल-ओ-नज़र पे हमें भी है इख़्तियार बहुत

हम अपने वक़्त की तस्वीर-ए-मस्ख़-सूरत हैं
दिखाए हम को न आईना रोज़गार बहुत

ख़ुदा वो वक़्त न लाए कि आज़माइश हो
तअ'ल्लुक़ात तुम्हीं से हैं उस्तुवार बहुत

किसी भी शाख़ पे जब मेरा आशियाँ न मिला
चमन में आज फिरी बर्क़ बे-क़रार बहुत

दिल-ए-तबाह की नैरंगियों का हाल न पूछ
गहे क़रार बहुत गाह बे-क़रार बहुत

हयात नाज़िश-ए-कौनैन हो तो क्या ग़म है
वो चार दिन की सही उम्र-ए-मुस्तआ'र बहुत

हमें तो अपनी वफ़ाओं का मिल रहा है सिला
जफ़ा-ओ-जौर पे वो क्यूँ हैं शर्मसार बहुत

बहुत दिनों से अब अपनी तलाश में गुम हैं
'रईस' छान चुके ख़ाक-ए-कू-ए-यार बहुत

  - Raees Niyazi

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raees Niyazi

As you were reading Shayari by Raees Niyazi

Similar Writers

our suggestion based on Raees Niyazi

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari