ab ye aalam hai ki jis shay pe nazar jaati hai
hoo-b-hoo aap ki tasveer nazar aati hai
khud ko taarikh kisi waqt jo dohraati hai
mere haalaat pe duniya ko hansa jaati hai
yaad-e-ayyaam-e-bahaaraan bhi nahin wajh-e-sukoon
ab to tazaeen-e-qafas hi mujhe bahlaati hai
barq ban ban ke giri hai mere dil par akshar
vo tajalli jo sar-e-toor nazar aati hai
aaj kuchh un ki tavajjoh mein kami paata hoon
zindagi maut se do-chaar hui jaati hai
dil bhar aata hai mera dekh ke nam aankh koi
apne rone pe to ab mujh ko hasi aati hai
main vo ik nang-e-zamaana hoon azal hi se raeis
zindagi hai ki mere naam se sharmaati hai
अब ये आलम है कि जिस शय पे नज़र जाती है
हू-ब-हू आप की तस्वीर नज़र आती है
ख़ुद को तारीख़ किसी वक़्त जो दोहराती है
मेरे हालात पे दुनिया को हँसा जाती है
याद-ए-अय्याम-ए-बहाराँ भी नहीं वज्ह-ए-सुकूँ
अब तो तज़ईन-ए-क़फ़स ही मुझे बहलाती है
बर्क़ बन बन के गिरी है मिरे दिल पर अक्सर
वो तजल्ली जो सर-ए-तूर नज़र आती है
आज कुछ उन की तवज्जोह में कमी पाता हूँ
ज़िंदगी मौत से दो-चार हुई जाती है
दिल भर आता है मिरा देख के नम आँख कोई
अपने रोने पे तो अब मुझ को हँसी आती है
मैं वो इक नंग-ए-ज़माना हूँ अज़ल ही से 'रईस'
ज़िंदगी है कि मिरे नाम से शरमाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raees Niyazi
our suggestion based on Raees Niyazi
As you were reading Aankhein Shayari Shayari