ek ik kar ke sabhi log bichhad jaate hain
dil ke jungle yoonhi baste hain ujad jaate hain
kaise khush-rang hoon khush-zaaeqaa fal hoon lekin
waqt par chakkhe nahin jaayen to sad jaate hain
apne lafzon ke ta'assur ka zara dhyaan rahe
haakim-e-shahr kabhi log bhi ud jaate hain
ret taarikh ke seene mein hataate hain wahi
aable pyaasi zabaanon mein jo pad jaate hain
aise kuchh haath bhi hote hain ki jin ke kangan
todne waale ke ehsaas mein gad jaate hain
shabnam andaaz-e-takallum mein kashish laazim hai
warna alfaaz simtate hain sikad jaate hain
एक इक कर के सभी लोग बिछड़ जाते हैं
दिल के जंगल यूँही बस्ते हैं उजड़ जाते हैं
कैसे ख़ुश-रंग हूँ ख़ुश-ज़ाएक़ा फल हूँ लेकिन
वक़्त पर चक्खे नहीं जाएँ तो सड़ जाते हैं
अपने लफ़्ज़ों के तअस्सुर का ज़रा ध्यान रहे
हाकिम-ए-शहर कभी लोग भी उड़ जाते हैं
रेत तारीख़ के सीने में हटाते हैं वही
आबले प्यासी ज़बानों में जो पड़ जाते हैं
ऐसे कुछ हाथ भी होते हैं कि जिन के कंगन
तोड़ने वाले के एहसास में गड़ जाते हैं
'शबनम' अंदाज़-ए-तकल्लुम में कशिश लाज़िम है
वर्ना अल्फ़ाज़ सिमटते हैं सिकड़ जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafia Shabnam Abidi
our suggestion based on Rafia Shabnam Abidi
As you were reading Hijrat Shayari Shayari