bhool jaate hain taqaddus ke haseen pal kitne
log jazbaat mein ho jaate hain paagal kitne
roz khushboo ke muqaddar mein rahi khud-sozi
apni hi aag mein jalte rahe sandal kitne
sabz mausam na yahan phir se palat kar aaya
ho gaye zard mere gaav ke peepal kitne
khud-kushi qatl-e-ana tark-e-tamanna bairaag
zindagi tere nazar aane lage hal kitne
baarishen hoti hain jis waqt bhari aankhon ki
raakh ho jaate hain jalte hue aanchal kitne
har qadam koi darinda koi khoon-khwaar uqaab
shehar ki god mein aabaad hain jungle kitne
be-rukhi us ki rulaayegi lahu kya shabnam
zakham khaate hi rahe ham to musalsal kitne
भूल जाते हैं तक़द्दुस के हसीं पल कितने
लोग जज़्बात में हो जाते हैं पागल कितने
रोज़ ख़ुश्बू के मुक़द्दर में रही ख़ुद-सोज़ी
अपनी ही आग में जलते रहे संदल कितने
सब्ज़ मौसम न यहाँ फिर से पलट कर आया
हो गए ज़र्द मिरे गाँव के पीपल कितने
ख़ुद-कुशी क़त्ल-ए-अना तर्क-ए-तमन्ना बैराग
ज़िंदगी तेरे नज़र आने लगे हल कितने
बारिशें होती हैं जिस वक़्त भरी आँखों की
राख हो जाते हैं जलते हुए आँचल कितने
हर क़दम कोई दरिंदा कोई खूँ-ख़्वार उक़ाब
शहर की गोद में आबाद हैं जंगल कितने
बे-रुख़ी उस की रुलाएगी लहू क्या 'शबनम'
ज़ख़्म खाते ही रहे हम तो मुसलसल कितने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafia Shabnam Abidi
our suggestion based on Rafia Shabnam Abidi
As you were reading Nazar Shayari Shayari