khud-farebi hai dagaa-baazi hai ayyaari hai
aaj ke daur mein jeena bhi adaakaari hai
tum jo pardes se aao to yaqeen aa jaaye
ab ke barsaat ye sunte hain badi pyaari hai
mere aangan mein to kaante bhi hare ho na sake
us ki chat pe to mehkati hui fulwaari hai
choodiyaan kaanch ki qaateel na kahi ban jaayen
seher-angez buri un ki guloo-kaari hai
kaash bijli koi chamke koi baadal barase
aaj ki shaam zameenon pe bahut bhari hai
kha gai garmi-e-jazbaat ko rasmon ki hawa
aaj har shakhs faqat barf ki almaari hai
main bhi radha se koi kam to nahin hoon shabnam
saanwale rang ka mera bhi to girdhaari hai
ख़ुद-फ़रेबी है दग़ा-बाज़ी है अय्यारी है
आज के दौर में जीना भी अदाकारी है
तुम जो परदेस से आओ तो यक़ीं आ जाए
अब के बरसात ये सुनते हैं बड़ी प्यारी है
मेरे आँगन में तो काँटे भी हरे हो न सके
उस की छत पे तो महकती हुई फुलवारी है
चूड़ियाँ काँच की क़ातिल न कहीं बन जाएँ
सेहर-अंगेज़ बुरी उन की गुलू-कारी है
काश बिजली कोई चमके कोई बादल बरसे
आज की शाम ज़मीनों पे बहुत भारी है
खा गई गर्मी-ए-जज़्बात को रस्मों की हवा
आज हर शख़्स फ़क़त बर्फ़ की अलमारी है
मैं भी राधा से कोई कम तो नहीं हूँ 'शबनम'
साँवले रंग का मेरा भी तो गिरधारी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafia Shabnam Abidi
our suggestion based on Rafia Shabnam Abidi
As you were reading Aaina Shayari Shayari