jis ki khaatir umr ganwaai ik duniya ko bhooli main | जिस की ख़ातिर उम्र गँवाई इक दुनिया को भूली मैं

  - Rafia Shabnam Abidi

jis ki khaatir umr ganwaai ik duniya ko bhooli main
jee kehta tha us se kah doon lekin kaise kahti main

meri zaat ka jis ki nazar se itna gahra rishta hai
us ki aankh samundar jaisi haree-bharee ik dharti hai

band kiwaadon par ik jaani pahchaani dastak jo sooni
yoonhi doopatta chhod ke bhaagi nange paanv hi pagli main

kis ka chehra dekh liya tha sote sote bachpan mein
khwaabon ki khush-rang nadi mein barson doobi ubhri mein

sab se bada ye jurm tha mera isee liye badnaam hui
saari duniya jahaan giri thi usi mod par sambhali main

ye bhi sach hai aise kab tak mil-jul kar chal sakte the
kuchh to vo bhi tha harjaai thodi si thi ziddi main

yoonhi shaayad jaate jaate us ne idhar bhi dekha ho
jaadon ka mausam tha lekin sar se pa tak bheegi main

mere liye to jeene ka ye ek sahaara kaafi hai
koi chahe kuchh bhi kah le teri nazar mein achhi main

meri majboori ne shabnam jis ko bad-zan kar daala
us ki qasam thi jaan se pyaari jhooti kaise khaati main

जिस की ख़ातिर उम्र गँवाई इक दुनिया को भूली मैं
जी कहता था उस से कह दूँ लेकिन कैसे कहती मैं

मेरी ज़ात का जिस की नज़र से इतना गहरा रिश्ता है
उस की आँख समुंदर जैसी हरी-भरी इक धरती है

बंद किवाड़ों पर इक जानी पहचानी दस्तक जो सुनी
यूँही डूपट्टा छोड़ के भागी नंगे पाँव ही पगली मैं

किस का चेहरा देख लिया था सोते सोते बचपन में
ख़्वाबों की ख़ुश-रंग नदी में बरसों डूबी उभरी में

सब से बड़ा ये जुर्म था मेरा इसी लिए बदनाम हुई
सारी दुनिया जहाँ गिरी थी उसी मोड़ पर संभली मैं

ये भी सच है ऐसे कब तक मिल-जुल कर चल सकते थे
कुछ तो वो भी था हरजाई थोड़ी सी थी ज़िद्दी मैं

यूँही शायद जाते जाते उस ने इधर भी देखा हो
जाड़ों का मौसम था लेकिन सर से पा तक भीगी मैं

मेरे लिए तो जीने का ये एक सहारा काफ़ी है
कोई चाहे कुछ भी कह ले तेरी नज़र में अच्छी मैं

मेरी मजबूरी ने 'शबनम' जिस को बद-ज़न कर डाला
उस की क़सम थी जान से प्यारी झूटी कैसे खाती मैं

  - Rafia Shabnam Abidi

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafia Shabnam Abidi

As you were reading Shayari by Rafia Shabnam Abidi

Similar Writers

our suggestion based on Rafia Shabnam Abidi

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari