maii ka aag lagata hua mahina tha
ghatta ne mujh se mera aftaab chheena tha
baja ki tujh sa rafoogar na mil saka lekin
ye taar taar vujood ek din to seena tha
use ye zid thi ki har saans us ki khaatir ho
magar mujhe to zamaane ke saath jeena tha
ye ham hi the jo bacha laaye apni jaan de kar
hawa ki zad pe tiri yaad ka safeena tha
nadi khajil thi ki bheegi hui thi paani mein
magar pahaad ke maathe pe kyun paseena tha
tum un sulagte hue aansuon ka gham na karo
hamein to roz hi ye zahar hans ke peena tha
tamaam-umr kisi ka na ban saka shabnam
vo jis ko baat banaane ka bhi qareena tha
मई का आग लगाता हुआ महीना था
घटा ने मुझ से मिरा आफ़्ताब छीना था
बजा कि तुझ सा रफ़ूगर न मिल सका लेकिन
ये तार तार वजूद एक दिन तो सीना था
उसे ये ज़िद थी कि हर साँस उस की ख़ातिर हो
मगर मुझे तो ज़माने के साथ जीना था
ये हम ही थे जो बचा लाए अपनी जाँ दे कर
हवा की ज़द पे तिरी याद का सफ़ीना था
नदी ख़जिल थी कि भीगी हुई थी पानी में
मगर पहाड़ के माथे पे क्यूँ पसीना था
तुम उन सुलगते हुए आँसुओं का ग़म न करो
हमें तो रोज़ ही ये ज़हर हँस के पीना था
तमाम-उम्र किसी का न बन सका 'शबनम'
वो जिस को बात बनाने का भी क़रीना था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafia Shabnam Abidi
our suggestion based on Rafia Shabnam Abidi
As you were reading Baaten Shayari Shayari