abr chaaya tha fazaaon mein tiri baaton ka | अब्र छाया था फ़ज़ाओं में तिरी बातों का

  - Rafia Shabnam Abidi

abr chaaya tha fazaaon mein tiri baaton ka
kitna dilkash tha vo manzar bhari barsaaton ka

bujhti shamon ke ta'ffun se bachaane tujh ko
main ne aanchal mein sameta hai dhuaan raaton ka

koi shehnai se kah do zara khaamosh rahe
shor achha nahin lagta mujhe baaraton ka

laakh darwaaze hon chup aur dariche khaamosh
choodiyaan raaz ugalati hain mulaqaaton ka

dhoop bhi tez hai shabnam ka bharosa bhi nahin
waqt bhi baaki nahin ab to munaajaaton ka

अब्र छाया था फ़ज़ाओं में तिरी बातों का
कितना दिलकश था वो मंज़र भरी बरसातों का

बुझती शम्ओं' के तअ'फ़्फ़ुन से बचाने तुझ को
मैं ने आँचल में समेटा है धुआँ रातों का

कोई शहनाई से कह दो ज़रा ख़ामोश रहे
शोर अच्छा नहीं लगता मुझे बारातों का

लाख दरवाज़े हों चुप और दरीचे ख़ामोश
चूड़ियाँ राज़ उगलती हैं मुलाक़ातों का

धूप भी तेज़ है 'शबनम' का भरोसा भी नहीं
वक़्त भी बाक़ी नहीं अब तो मुनाजातों का

  - Rafia Shabnam Abidi

Bharosa Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

More by Rafia Shabnam Abidi

As you were reading Shayari by Rafia Shabnam Abidi

Similar Writers

our suggestion based on Rafia Shabnam Abidi

Similar Moods

As you were reading Bharosa Shayari in Hindi Shayari