guru ki rahmaton se bhakt ka uddhaar hota hai
inheen ki mehr se rab ka hamein deedaar hota hai
chale nakshe qadam par jo agar noor-e-ilaahi ke
tabhi aawaagaman ke vo bhanwar se paar hota hai
rahein gar ek dooje se sabhi milkar ukh'uvvat se
hamaara khushnuma jaakar tabhi sansaar hota hai
yahi paighaam deta ja raha hai ye mission apna
muhabbat se faqat saara jahaan gulzaar hota hai
sabhi ko jodne ka kaam rohit kar rahe murshid
haqeeqat mein yahi to pyaar ka kirdaar hota hai
गुरु की रहमतों से भक्त का उद्धार होता है
इन्हीं की मेहर से रब का हमें दीदार होता है
चले नक्शे क़दम पर जो अगर नूर-ए-इलाही के
तभी आवागमन के वो भँवर से पार होता है
रहें गर एक दूजे से सभी मिलकर उख़ुव्वत से
हमारा ख़ुशनुमा जाकर तभी संसार होता है
यही पैग़ाम देता जा रहा है ये मिशन अपना
मुहब्बत से फ़क़त सारा जहाँ गुलज़ार होता है
सभी को जोड़ने का काम ‛रोहित’ कर रहे मुर्शिद
हक़ीक़त में यही तो प्यार का किरदार होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rohit Asthana Prabhav Nirankari
our suggestion based on Rohit Asthana Prabhav Nirankari
As you were reading Deedar Shayari Shayari