lipt kar so raha hoon lazzat-e-dard-e-mohabbat se | लिपट कर सो रहा हूँ लज़्ज़त-ए-दर्द-ए-मोहब्बत से

  - S. Nooruddin Anwar Bhopali

lipt kar so raha hoon lazzat-e-dard-e-mohabbat se
ye ishrat baa'd-e-murdan khaak mein milti hai qismat se

saraapa sher-o-naghma ban gaya kis ki inaayat se
mera dil ab ibaarat hai mohabbat hi mohabbat se

vo firdaus-e-bareen dar-asl dozakh se bhi bad-tar hai
jo haasil ki gai ho gair ke lutf-o-inaayat se

agar furqat hi furqat ho to phir furqat nahin rahti
main tere vasl ka bhi lutf utha leta hoon furqat se

tamannaa hai ki rahne de yahi ehsaas vo mujh mein
ki ik main hi faqat mahroom hoon us ki inaayat se

ye duniya se alag rahna bhi kuchh achha nahin zaahid
bagaavat hai ye mansha-e-ilaahi ki itaa'at se

sharaarat kuchh unhin us ki samt se hoti nahin tanhaa
mujhe bhi fitratan kuchh unsiyat si hai sharaarat se

mujhe to but-kade hi mein khuda bhi mil gaya zaahid
musalmaan ho gaya hoon main isee kufr-e-mohabbat mein

ye anwar kaun si duniya mein khoya hai ki khud us ko
suna hai aap apni justuju hai ek muddat se

लिपट कर सो रहा हूँ लज़्ज़त-ए-दर्द-ए-मोहब्बत से
ये इशरत बा'द-ए-मुर्दन ख़ाक में मिलती है क़िस्मत से

सरापा शेर-ओ-नग़्मा बन गया किस की इनायत से
मिरा दिल अब इबारत है मोहब्बत ही मोहब्बत से

वो फ़िरदौस-ए-बरीं दर-अस्ल दोज़ख़ से भी बद-तर है
जो हासिल की गई हो ग़ैर के लुत्फ़-ओ-इनायत से

अगर फ़ुर्क़त ही फ़ुर्क़त हो तो फिर फ़ुर्क़त नहीं रहती
मैं तेरे वस्ल का भी लुत्फ़ उठा लेता हूँ फ़ुर्क़त से

तमन्ना है कि रहने दे यही एहसास वो मुझ में
कि इक मैं ही फ़क़त महरूम हूँ उस की इनायत से

ये दुनिया से अलग रहना भी कुछ अच्छा नहीं 'ज़ाहिद'
बग़ावत है ये मंशा-ए-इलाही की इताअ'त से

शरारत कुछ उन्हीं उस की सम्त से होती नहीं तन्हा
मुझे भी फ़ितरतन कुछ उन्सियत सी है शरारत से

मुझे तो बुत-कदे ही में ख़ुदा भी मिल गया ज़ाहिद
मुसलमाँ हो गया हूँ मैं इसी कुफ़्र-ए-मोहब्बत में

ये 'अनवर' कौन सी दुनिया में खोया है कि ख़ुद उस को
सुना है आप अपनी जुस्तुजू है एक मुद्दत से

  - S. Nooruddin Anwar Bhopali

Tanz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by S. Nooruddin Anwar Bhopali

As you were reading Shayari by S. Nooruddin Anwar Bhopali

Similar Writers

our suggestion based on S. Nooruddin Anwar Bhopali

Similar Moods

As you were reading Tanz Shayari Shayari