sabhi se door biyaabaan mein rah rahe hain ham
na sun rahe hain kisi ki na kah rahe hain ham
ravaan nadi to nahin hai magar hawa ke sang
ghubaar ban ke zamaane se bah rahe hain ham
kisi gareeb ke toote hue makaan ki tarah
zara zara hi sahi roz dhah rahe hain ham
khuli kitaab si ye zindagi hamaari hai
varq varq hain ude sab na tah rahe hain ham
bhatk rahe hain tabassum ki chaah dil mein liye
mile hai ranj faqat jis jagah rahe hain ham
hamein bhi khul ke chamakne nahin diya saabir
jise ho abr ne ghera vo mah rahe hain ham
सभी से दूर बयाबाँ में रह रहे हैं हम
न सुन रहे हैं किसी की न कह रहे हैं हम
रवाँ नदी तो नहीं है मगर हवा के संग
ग़ुबार बन के ज़माने से बह रहे हैं हम
किसी ग़रीब के टूटे हुए मकाँ की तरह
ज़रा ज़रा ही सही रोज़ ढह रहे हैं हम
खुली किताब सी ये ज़िंदगी हमारी है
वरक़ वरक़ हैं उड़े सब न तह रहे हैं हम
भटक रहे हैं तबस्सुम की चाह दिल में लिए
मिले है रंज फ़क़त जिस जगह रहे हैं हम
हमें भी खुल के चमकने नहीं दिया 'साबिर'
जिसे हो अब्र ने घेरा वो मह रहे हैं हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saabir Usmani
our suggestion based on Saabir Usmani
As you were reading Revenge Shayari Shayari