kisi ki chaah mein had se guzar gaye hote
to naam saare zamaane mein kar gaye hote
hamaari pyaas ki rakh li hai laaj sehra ne
samundron ke sahaare to mar gaye hote
jo mere seena pe hans ke vo haath rakh dete
to zakham dil ke sabhi mere bhar gaye hote
kisi ki yaad ne ham ko sanbhaal rakha hai
vagarna hijr mein kab ke hi mar gaye hote
tumhaari yaadon ke saare hi rang pakke hain
jo hote kacche to kab ke utar gaye hote
hamein to maa ki duaon ka hi sahaara hai
nahin to sehra mein saabir bikhar gaye hote
किसी की चाह में हद से गुज़र गए होते
तो नाम सारे ज़माने में कर गए होते
हमारी प्यास की रख ली है लाज सहरा ने
समुंदरों के सहारे तो मर गए होते
जो मेरे सीना पे हँस के वो हाथ रख देते
तो ज़ख़्म दिल के सभी मेरे भर गए होते
किसी की याद ने हम को सँभाल रखा है
वगर्ना हिज्र में कब के ही मर गए होते
तुम्हारी यादों के सारे ही रंग पक्के हैं
जो होते कच्चे तो कब के उतर गए होते
हमें तो माँ की दुआओं का ही सहारा है
नहीं तो सहरा में 'साबिर' बिखर गए होते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saabir Usmani
our suggestion based on Saabir Usmani
As you were reading Hijr Shayari Shayari