nikal pada hai vo suraj nayi tapan le kar
chala hai le ke vo barchi ki phir kiran le kar
jo mere hissa ka baadal hai kyun nahin barsa
kahaan main jaaun bhala tan ki ye agan le kar
har ek shakhs gaya chhod kar mujhe aage
kahi main mar hi na jaaun yahi jalan le kar
faqeer ham hain ki jhoola utha ke chal denge
kahaan kahaan liye firte rahenge dhan le kar
zameen pe chaand sitaare utaar laayenge
chale hain dil mein ham apne yahi lagan le kar
birah ki maari main birhan kahaan se sukh bhogoon
chura ke meri khushi sab gaya sajan le kar
gulaab honton mein zulfon mein yaas mein un ke
vo ghar se nikle hain khushbu-bhara badan le kar
dayaar-e-yaar mein ham chhod aaye dil saabir
ki laut aaye hain apna nidhaal tan le kar
निकल पड़ा है वो सूरज नई तपन ले कर
चला है ले के वो बर्छी कि फिर किरन ले कर
जो मेरे हिस्सा का बादल है क्यों नहीं बरसा
कहाँ मैं जाऊँ भला तन की ये अगन ले कर
हर एक शख़्स गया छोड़ कर मुझे आगे
कहीं मैं मर ही न जाऊँ यही जलन ले कर
फ़क़ीर हम हैं कि झोला उठा के चल देंगे
कहाँ कहाँ लिए फिरते रहेंगे धन ले कर
ज़मीं पे चाँद सितारे उतार लाएँगे
चले हैं दिल में हम अपने यही लगन ले कर
बिरह की मारी मैं बिरहन कहाँ से सुख भोगूँ
चुरा के मेरी ख़ुशी सब गया सजन ले कर
गुलाब होंटों में ज़ुल्फ़ों में यास में उन के
वो घर से निकले हैं ख़ुशबू-भरा बदन ले कर
दयार-ए-यार में हम छोड़ आए दिल 'साबिर'
कि लौट आए हैं अपना निढाल तन ले कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saabir Usmani
our suggestion based on Saabir Usmani
As you were reading Badan Shayari Shayari