b-zaahir raunqon mein bazm-aaraai mein jeete hain
haqeeqat hai ki ham tanhaa hain tanhaai mein jeete hain
saja kar chaar-soo rangeen mahal tere khayaalon ke
tiri yaadon ki raanaai mein zebaai mein jeete hain
khusa ham imtihaan-e-dasht-gardi ke nateeje mein
b-sad-ejaaz mashk-e-aabla-paai mein jeete hain
sitam-gaaron ne aayeen-e-wafa mansookh kar daala
magar kuchh log abhi ummeed-e-ajraai mein jeete hain
ब-ज़ाहिर रौनक़ों में बज़्म-आराई में जीते हैं
हक़ीक़त है कि हम तन्हा हैं तन्हाई में जीते हैं
सजा कर चार-सू रंगीं महल तेरे ख़यालों के
तिरी यादों की रानाई में ज़ेबाई में जीते हैं
ख़ुशा हम इम्तिहान-ए-दश्त-गर्दी के नतीजे में
ब-सद-एजाज़ मश्क़-ए-आबला-पाई में जीते हैं
सितम-गारों ने आईन-ए-वफ़ा मंसूख़ कर डाला
मगर कुछ लोग अभी उम्मीद-ए-अजराई में जीते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabiha Saba
our suggestion based on Sabiha Saba
As you were reading Tanhai Shayari Shayari