ye sail-e-ashk mujhe guftugoo ki taab to de | ये सैल-ए-अश्क मुझे गुफ़्तुगू की ताब तो दे

  - Sabiha Saba

ye sail-e-ashk mujhe guftugoo ki taab to de
jo ye kahoon ki wafa ka meri hisaab to de

bhari bahaar-ruton mein bhi khaar le aayi
ye intizaar ki tahni kabhi gulaab to de

nahin nahin main wafa se kinaara-kash to nahin
vo de raha hai mujhe hijr ka azaab to de

ye khaamoshi to qayamat ki jaan leva hai
vo dil dukhaaye magar baat ka jawaab to de

har ek waqia taareekh-daar likh jaaun
gaye dinon ki mere haath vo kitaab to de

ye dekh kis gul-e-tar par nigaah thehri hai
na de vo phool mujhe daad-e-intikhaab to de

gunaahgaar sahi phir bhi mere hisse ka
tiri taraf jo nikalta hai vo savaab to de

ये सैल-ए-अश्क मुझे गुफ़्तुगू की ताब तो दे
जो ये कहूँ कि वफ़ा का मिरी हिसाब तो दे

भरी बहार-रुतों में भी ख़ार ले आई
ये इंतिज़ार की टहनी कभी गुलाब तो दे

नहीं नहीं मैं वफ़ा से किनारा-कश तो नहीं
वो दे रहा है मुझे हिज्र का अज़ाब तो दे

ये ख़ामुशी तो क़यामत की जान लेवा है
वो दिल दुखाए मगर बात का जवाब तो दे

हर एक वाक़िआ तारीख़-दार लिख जाऊँ
गए दिनों की मिरे हाथ वो किताब तो दे

ये देख किस गुल-ए-तर पर निगाह ठहरी है
न दे वो फूल मुझे दाद-ए-इंतिख़ाब तो दे

गुनाहगार सही फिर भी मेरे हिस्से का
तिरी तरफ़ जो निकलता है वो सवाब तो दे

  - Sabiha Saba

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabiha Saba

As you were reading Shayari by Sabiha Saba

Similar Writers

our suggestion based on Sabiha Saba

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari