us ki shabaahat kisi shams-o-qamar mein nahin
ek use dekh kar koi nazar mein nahin
qaasid zohra maqaam kah use mera salaam
jis ka nasheeman meri raahguzar mein nahin
kya kashish jazb-e-dil tujh mein kami hai ki vo
mehwar-e-sayyaargaan tere asar mein nahin
chashm-sitaara-shumaar kushta-sada intizaar
deed ki koi naved nazm-e-sehr mein nahin
ham jo dikhaate nahin laala-o-gul ki tarah
ye na samajhna koi daagh jigar mein nahin
sabz qaba-e-chaman sirf fareb-e-nazar
aas ki konpal kisi shaakh-e-shajar mein nahin
ek tujhi ko saba kyun hai thakan ka gila
mauja-e-gul aur hawa kaun safar mein nahin
उस की शबाहत किसी शम्स-ओ-क़मर में नहीं
एक उसे देख कर कोई नज़र में नहीं
क़ासिद ज़ोहरा मक़ाम कह उसे मेरा सलाम
जिस का नशेमन मिरी राहगुज़र में नहीं
क्या कशिश जज़्ब-ए-दिल तुझ में कमी है कि वो
मेहवर-ए-सय्यारगाँ तेरे असर में नहीं
चश्म-सितारा-शुमार कुश्ता-सदा इंतिज़ार
दीद की कोई नवेद नज्म-ए-सहर में नहीं
हम जो दिखाते नहीं लाला-ओ-गुल की तरह
ये न समझना कोई दाग़ जिगर में नहीं
सब्ज़ क़बा-ए-चमन सिर्फ़ फ़रेब-ए-नज़र
आस की कोंपल किसी शाख़-ए-शजर में नहीं
एक तुझी को 'सबा' क्यूँ है थकन का गिला
मौजा-ए-गुल और हवा कौन सफ़र में नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabiha Saba
our suggestion based on Sabiha Saba
As you were reading Shikwa Shayari Shayari