ye dil ki daastaan hai ki dil ghulaam kar diya | ये दिल की दास्तान है कि दिल ग़ुलाम कर दिया

  - Sabiha Saba

ye dil ki daastaan hai ki dil ghulaam kar diya
ajeeb log aap hain ajeeb kaam kar diya

tumhaari ye sakhaavaten tumhaari ye inaayaten
jo gham tumhaare paas tha hamaare naam kar diya

dilon ka bhed khul gaya to phir ajeeb rang mein
dabii dabii si baat ko kisi ne aam kar diya

kisi ko surkh-roo kiya kisi ki bazm-e-shauq mein
zara zara si baat par ye ehtimaam kar diya

kabhi hamein bura laga kabhi hamein bhala laga
hamaare dil ki baat ko kisi ne aam kar diya

udaan khoob-tar hui jo panchiyon ki daar ki
to gher-ghaar kar kisi ne zer-e-daam kar diya

ये दिल की दास्तान है कि दिल ग़ुलाम कर दिया
अजीब लोग आप हैं अजीब काम कर दिया

तुम्हारी ये सख़ावतें तुम्हारी ये इनायतें
जो ग़म तुम्हारे पास था हमारे नाम कर दिया

दिलों का भेद खुल गया तो फिर अजीब रंग में
दबी दबी सी बात को किसी ने आम कर दिया

किसी को सुर्ख़-रू किया किसी की बज़्म-ए-शौक़ में
ज़रा ज़रा सी बात पर ये एहतिमाम कर दिया

कभी हमें बुरा लगा कभी हमें भला लगा
हमारे दिल की बात को किसी ने आम कर दिया

उड़ान ख़ूब-तर हुई जो पंछियों की डार की
तो घेर-घार कर किसी ने ज़ेर-ए-दाम कर दिया

  - Sabiha Saba

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabiha Saba

As you were reading Shayari by Sabiha Saba

Similar Writers

our suggestion based on Sabiha Saba

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari