jab kabhi haadsaat ne maara
yun laga kaayenaat ne maara
vo jo mansoor ki ada thehri
us ko izhaar-e-zaat ne maara
log duniya ka gham uthaate hain
ham ko chhoti si baat ne maara
ham na munh fer kar guzar paaye
chand lamhon ke saath ne maara
din to kat hi gaya tha un ka magar
kam-naseebon ko raat ne maara
maut ka dam saba ghaneemat hai
warna pal pal hayaat ne maara
जब कभी हादसात ने मारा
यूँ लगा काएनात ने मारा
वो जो मंसूर की अदा ठहरी
उस को इज़हार-ए-ज़ात ने मारा
लोग दुनिया का ग़म उठाते हैं
हम को छोटी सी बात ने मारा
हम न मुँह फेर कर गुज़र पाए
चंद लम्हों के सात ने मारा
दिन तो कट ही गया था उन का मगर
कम-नसीबों को रात ने मारा
मौत का दम सबा ग़नीमत है
वर्ना पल पल हयात ने मारा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabiha Saba
our suggestion based on Sabiha Saba
As you were reading Jalwa Shayari Shayari