meri thodi aankh lagi to jaane kya kya baandh liya | मेरी थोड़ी आँख लगी तो जाने क्या क्या बाँध लिया

  - Sabir Amani

meri thodi aankh lagi to jaane kya kya baandh liya
farmaish ne ik roomaal mein poora sehra baandh liya

aakhir mein khairaat batti to saare guttham-guttha the
main ne peeche baithe baithe jo dil chaaha baandh liya

ye jo yaar mayassar hai naan saara mera apna nain
saawan ka ye matlab nain ki jo kuchh barsa baandh liya

manzar hi kuchh aisa tha ki laalach karna banta tha
aadha dekh ke raqs kiya aur baaki aadha baandh liya

ek karishma ye bhi hai ki us ki mast nigaahon ne
jab dil chaaha aankh dikha kar chalta dariya baandh liya

मेरी थोड़ी आँख लगी तो जाने क्या क्या बाँध लिया
जादूगर ने इक रूमाल में पूरा सहरा बाँध लिया

आख़िर में ख़ैरात बटी तो सारे गुत्थम-गुत्था थे
मैं ने पीछे बैठे बैठे जो दिल चाहा बाँध लिया

ये जो यार मयस्सर है नाँ सारा मेरा अपना नइं
सावन का ये मतलब नइं कि जो कुछ बरसा बाँध लिया

मंज़र ही कुछ ऐसा था कि लालच करना बनता था
आधा देख के रक़्स किया और बाक़ी आधा बाँध लिया

एक करिश्मा ये भी है कि उस की मस्त निगाहों ने
जब दिल चाहा आँख दिखा कर चलता दरिया बाँध लिया

  - Sabir Amani

Raqs Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabir Amani

As you were reading Shayari by Sabir Amani

Similar Writers

our suggestion based on Sabir Amani

Similar Moods

As you were reading Raqs Shayari Shayari