gham ke dar pe mujhe naukri chahiye
dukh se yaani bhari zindagi chahiye
dhong karna hi kyun gham zada hone ka
gham agar hai to phir dikhnna bhi chahiye
din khushi se guzarta hai gham mein mera
kisko lagta hai mujhko khushi chahiye
ek hi shakhs jab de nahin saktaa phir
mujhko waapas meri zindagi chahiye
khaamoshi cheekhti rahti hai kaanon mein
mujhse yah kahti hai khaamoshi chahiye
koii khwaahish nahin baaki deewane kii
uske chehre kii mujhko hasi chahiye
zindagi chahiye aisi jo maut ho
maut aisi lage jo abhi chahiye
ग़म के दर पे मुझे नौकरी चाहिए
दुख से यानी भरी ज़िंदगी चाहिए
ढोंग करना ही क्यूँ ग़म ज़दा होने का
ग़म अगर है तो फिर दिखना भी चाहिए
दिन ख़ुशी से गुज़रता है ग़म में मिरा
किसको लगता है मुझको ख़ुशी चाहिए
एक ही शख़्स जब दे नहीं सकता फिर
मुझको वापस मिरी ज़िंदगी चाहिए
ख़ामुशी चीख़ती रहती है कानों में
मुझसे यह कहती है ख़ामुशी चाहिए
कोई ख़्वाहिश नहीं बाक़ी दीवाने की
उसके चेहरे की मुझको हँसी चाहिए
ज़िंदगी चाहिए ऐसी जो मौत हो
मौत ऐसी लगे जो अभी चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Death Shayari Shayari