nahin aata yaqeen mujhko kisi kii bhi mohabbat mein | नहीं आता यक़ीं मुझको किसी की भी मोहब्बत में

  - Sagar Sahab Badayuni

nahin aata yaqeen mujhko kisi kii bhi mohabbat mein
sabhi ab mil rahe hain aaj kal sabse zaroorat mein

mujhe vo aaj bhi kehna tira bas yaad aata hai
tujhe main maangti hoon aaj bhi apni ibadat mein

kisi se ab nahin shikwa nahin koii gila hamko
nahin hai ab hamaari dam kisi bhi ik shikaayat mein

tumhein kisne kaha kii zindagi to khoobsurat hai
kabhi hoti nahin hai zindagi waisi haqeeqat mein

kisi ko yaad ham aakhir bhala kyun umr bhar rakhen
kabhi milne nahin aaya hamein koii museebat mein

kisi bhi haal mein lagti nahin koii dava mujhko
nahin koii asar dikhta mujhe apni tabeeyat mein

tumhein main kya bhala koii khushi laakar kabhi doonga
meri khud zindagi din raat hai guzri aziyyat mein

gham-e-dil chhod kar kuchh ishq par achha likho saagar
khuda ko kya dikhaaoge bhala chehra qayamat mein

नहीं आता यक़ीं मुझको किसी की भी मोहब्बत में
सभी अब मिल रहे हैं आज कल सबसे ज़रूरत में

मुझे वो आज भी कहना तिरा बस याद आता है
तुझे मैं माँगती हूँ आज भी अपनी इबादत में

किसी से अब नहीं शिकवा नहीं कोई गिला हमको
नहीं है अब हमारी दम किसी भी इक शिकायत में

तुम्हें किसने कहा की ज़िंदगी तो ख़ूबसूरत है
कभी होती नहीं है ज़िंदगी वैसी हक़ीक़त में

किसी को याद हम आख़िर भला क्यों उम्र भर रक्खें
कभी मिलने नहीं आया हमें कोई मुसीबत में

किसी भी हाल में लगती नहीं कोई दवा मुझको
नहीं कोई असर दिखता मुझे अपनी तबीअत में

तुम्हें मैं क्या भला कोई ख़ुशी लाकर कभी दूँगा
मिरी ख़ुद ज़िंदगी दिन रात है गुज़री अज़िय्यत में

ग़म-ए-दिल छोड़ कर कुछ इश्क़ पर अच्छा लिखो सागर
ख़ुदा को क्या दिखाओगे भला चेहरा क़यामत में

  - Sagar Sahab Badayuni

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari