dar dar firte logon ko dar de maula | दर दर फिरते लोगों को दर दे मौला

  - SALIM RAZA REWA

dar dar firte logon ko dar de maula
banjaaron ko bhi apna ghar de maula

jo auron kii khushiyon mein khush hote hain
un ka bhi ghar khushiyon se bhar de maula

zulm-o-sitam ho khatm na ho dahshat-gardi
amn-o-amaan kii yun baarish kar de maula

bhooke pyaase muflis aur yateem hain jo
un par bhi kuchh rahm-o-karam kar de maula

jo karte hain khoon-kharaaba zulm-o-sitam
un ke bhi dil mein thoda dar de maula

mast magan main udoon parindon ke jaisa
mujhko bhi vo taqat vo par de maula

दर दर फिरते लोगों को दर दे मौला
बंजारों को भी अपना घर दे मौला

जो औरों की ख़ुशियों में ख़ुश होते हैं
उन का भी घर ख़ुशियों से भर दे मौला

ज़ुल्म-ओ-सितम हो ख़त्म न हो दहशत-गर्दी
अम्न-ओ-अमाँ की यूँ बारिश कर दे मौला

भूके प्यासे मुफ़्लिस और यतीम हैं जो
उन पर भी कुछ रहम-ओ-करम कर दे मौला

जो करते हैं ख़ून-ख़राबा ज़ुल्म-ओ-सितम
उन के भी दिल में थोड़ा डर दे मौला

मस्त मगन मैं उड़ूँ परिंदों के जैसा
मुझको भी वो ताक़त वो पर दे मौला

  - SALIM RAZA REWA

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SALIM RAZA REWA

As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA

Similar Writers

our suggestion based on SALIM RAZA REWA

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari