sheeshe kii chamak kuchh bhi nahin aage tumhaare | शीशे की चमक कुछ भी नहीं आगे तुम्हारे

  - salman khan "samar"

sheeshe kii chamak kuchh bhi nahin aage tumhaare
chandan kii mahak kuchh bhi nahin aage tumhaare

betaab sa rehta hoon tire saaz ke khaatir
paayal kii chanak kuchh bhi nahin aage tumhaare

ummat bhi kare naaz adaaon pe tumhaari
huroon kii jhalak kuchh bhi nahin aage tumhaare

main ghoom kar aaya hoon abhi saath falak par
ye saath falak kuchh bhi nahin aage tumhaare

raagon ko bhi shaagird karein bol tumhaare
raagon kii chahak kuchh bhi nahin aage tumhaare

sabzi ke bahaane se main kehta hoon use ye
kam hi hai namak kuchh bhi nahin aage tumhaare

raushan sa koii ek sitaara hai vo salmaan
us kii vo chamak kuchh bhi nahin aage tumhaare

शीशे की चमक कुछ भी नहीं आगे तुम्हारे
चंदन की महक कुछ भी नहीं आगे तुम्हारे

बेताब सा रहता हूँ तिरे साज़ के ख़ातिर
पायल की छनक कुछ भी नहीं आगे तुम्हारे

उम्मत भी करे नाज़ अदाओं पे तुम्हारी
हूरों की झलक कुछ भी नहीं आगे तुम्हारे

मैं घूम कर आया हूँ अभी सात फ़लक पर
ये सात फ़लक कुछ भी नहीं आगे तुम्हारे

रागों को भी शागिर्द करें बोल तुम्हारे
रागों की चहक कुछ भी नहीं आगे तुम्हारे

सब्ज़ी के बहाने से मैं कहता हूँ उसे ये
कम ही है नमक कुछ भी नहीं आगे तुम्हारे

रौशन सा कोई एक सितारा है वो सलमान
उस की वो चमक कुछ भी नहीं आगे तुम्हारे

  - salman khan "samar"

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by salman khan "samar"

As you were reading Shayari by salman khan "samar"

Similar Writers

our suggestion based on salman khan "samar"

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari