christmas ka darakht
main bhi hoon goya christmas ka darakht
mera rishta bhi zameen se aasmaan se aur hawa se kat chuka
baagh chhoota khetiyan chhootiin
main ghar ke markazi kamre mein aa kar dat chuka
mere bacchon ne sajaaya hai mujhe
raushni ke nanhe nanhe bulb taanke hain meri baanhon ke saath
meri shaakhon mein hain tohfe
mukhtalif rangon ke kaaghaz aur sunhare tape mein lipate hue
hai raqam har ek tohfe par koi maanoos naam
raat hogi aur dinner ke ba'ad mere paas sab aa jaayenge
meri biwi mere bacche mere dost
meri shaakhon se utaare jaayenge tohfe tamaam
jaagti soi hui gudiya
damkati dhaariyon waala fraak
mere bete ke liye bandooq
jis se vo karega udti chidiyon ka shikaar
meri biwi ke liye necklace chamakta pur-waqaar
aur bhi tohfe bahut se be-shumaar
aur bacchon ke liye aur apne pyaaron ke liye
jab guzar jaayegi shab
bat chukenge saare tohfe bujh chukenge bulb sab
main drawing-room ki be-kaar shay ho jaaunga
mere sukhe zard-patton ki mahak
jaagti-jeeti fazaa mein kab talak
phir meri biwi kahegi
aao baccho ghar ki zebaish naye sire se karein
fenk den ab ghar se baahar ye christmas ka darakht
patta patta us ki har ik shaakh ka murjha gaya
ab naya saal aa gaya
"क्रिसमस का दरख़्त"
मैं भी हूँ गोया क्रिसमस का दरख़्त
मेरा रिश्ता भी ज़मीं से आसमाँ से और हवा से कट चुका
बाग़ छूटा खेतियाँ छूटीं
मैं घर के मरकज़ी कमरे में आ कर डट चुका
मेरे बच्चों ने सजाया है मुझे
रौशनी के नन्हे नन्हे बल्ब टाँके हैं मिरी बाँहों के साथ
मेरी शाख़ों में हैं तोहफ़े
मुख़्तलिफ़ रंगों के काग़ज़ और सुनहरे टेप में लिपटे हुए
है रक़म हर एक तोहफ़े पर कोई मानूस नाम
रात होगी और डिनर के बा'द मेरे पास सब आ जाएँगे
मेरी बीवी मेरे बच्चे मेरे दोस्त
मेरी शाख़ों से उतारे जाएँगे तोहफ़े तमाम
जागती सोई हुई गुड़िया
दमकती धारियों वाला फ़्राक
मेरे बेटे के लिए बंदूक़
जिस से वो करेगा उड़ती चिड़ियों का शिकार
मेरी बीवी के लिए नेकलेस चमकता पुर-वक़ार
और भी तोहफ़े बहुत से बे-शुमार
और बच्चों के लिए और अपने प्यारों के लिए
जब गुज़र जाएगी शब
बट चुकेंगे सारे तोहफ़े बुझ चुकेंगे बल्ब सब
मैं ड्राइंग-रूम की बे-कार शय हो जाऊँगा
मेरे सूखे ज़र्द-पत्तों की महक
जागती-जीती फ़ज़ा में कब तलक
फिर मिरी बीवी कहेगी
आओ बच्चो घर की ज़ेबाइश नए सिरे से करें
फेंक दें अब घर से बाहर ये क्रिसमस का दरख़्त
पत्ता पत्ता उस की हर इक शाख़ का मुरझा गया
अब नया साल आ गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shahzad Ahmad
our suggestion based on Shahzad Ahmad
As you were reading Ghar Shayari Shayari