hayaat aadhi meri guzri aazmaish mein
bachi jo aadhi guzaari hai maine gardish mein
dikha ke zakhm sabhi ko hame mila hi kya
hue hain rusva sada zakhamon ki numaish mein
ghubaar-o-gard-e-safar ki na thi bisaat kabhi
badan ye maila hua manzilon ki khwaahish mein
vo but parasti meri aur inaayaten vo teri
kahaan vo baat rahi ab teri nawaazish mein
umeed chhod di beemaar ne bhi jeene ki
na heen vo baat rahi ab to uski pursish mein
ye vahm-e-raqs-e-badan kyoon mein jo hai sach hai
nahaati thi vo kabhi saath mere baarish mein
ai nasle nau tu sabak le mere tajurbon se
ki ek umr guzaari hai maine gardish mein
musavviri bhi meri pur asar na ho paayi
bigad gayi meri tasveer gham ki larzish mein
saleeke se to mujhe maut bhi nahin aayi
ye jaan meri gayi khudkushi ki koshish mein
tamaam raat salaakhon ko takte guzri hai
qafas mila tha hame zindagi se bakshish mein
हयात आधी मेरी गुज़री आज़माइश में
बची जो आधी गुज़ारी है मैने गर्दिश में
दिखा के ज़ख्म सभी को हमे मिला ही क्या
हुए हैं रुस्वा सदा ज़ख़्मों की नुमाइश में
ग़ुबार-ओ-गर्द-ए-सफ़र की न थी बिसात कभी
बदन ये मैला हुआ मंज़िलों की ख़्वाहिश में
वो बुत परस्ती मेरी और इनायतें वो तेरी
कहाँ वो बात रही अब तेरी नवाज़िश में
उमीद छोड़ दी बीमार ने भी जीने की
न हीं वो बात रही अब तो उसकी पुर्सिश में
ये वहम-ए-रक़्स-ए-बदन बूंदों में जो है सच है
नहाती थी वो कभी साथ मेरे बारिश में
ऐ नस्ले नौ तू सबक ले मेरे तज़ुर्बों से
कि एक उम्र गुज़ारी है मैने गर्दिश में
मुसव्वीरी भी मेरी पुर असर न हो पायी
बिगड़ गयी मेरी तस्वीर ग़म की, लर्ज़िश में
सलीके से तो मुझे मौत भी नहीं आयी
ये जान मेरी गयी ख़ुदकुशी की कोशिश में
तमाम रात सलाख़ों को तकते गुज़री है
क़फ़स मिला था हमे ज़िन्दगी से बख़्शिश में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aman Kumar Shaw "Haif"
our suggestion based on Aman Kumar Shaw "Haif"
As you were reading Baarish Shayari Shayari