aalam-e-vahshat mein ki hai guftagoo deewaar se
qatle khaamoshi kiya hai khanzaro talwaar se
yun nahin bas dekhne mein lagte hain bedaar se
ratjage kitne kiye hain poochiye beemaar se
din guzaara kaise hamne raat kaise kaatee hai
jaanna gar ho to poocho is dile bezaar se
muflisi ki aag mein maana jhuls kar mar gaye
bheekh mein maangi na daulat par kisi zardaar se
kyun samandar peene baithe poochiye hamse nahin
intihaan-e-tishnagi bas dekhiye absaar se
kaam lete hi rahe hain mujhse mere dost sab
aap bhi le leejie kuchh kaam mujh begaar se
khaak vo gulshan hua jisme haseen gul khilte the
ab to zeenat hai chaman ki chaar soo bas khaar se
laakh tasveerein banaao khoob rango boo bharo
kam harik tasveer hogi uske bin shehkaar se
log saare shehar ke hamdard mere ban gaye
poochiye mat kya mila is gham ke kaarobaar se
baat dil ki dil mein hi mujhko dabaakar rakhni thi
kahke tujhse gir gaya main khud ke hi meyaar se
doobne waale aman us paar chillate rahe
dekhte sab rah gaye bas dariya ke is paar se
आलम-ए-वहशत में की है गुफ़्तगू दीवार से
क़त्ले ख़ामोशी किया है ख़ंज़रो तलवार से
यूँ नहीं बस देखने में लगते हैं बेदार से
रतजगे कितने किए हैं पूछिए बीमार से
दिन गुज़ारा कैसे हमने रात कैसे काटी है
जानना गर हो तो पूछो इस दिले बेज़ार से
मुफ़लिसी की आग में माना झुलस कर मर गये
भीख में मांगी न दौलत पर किसी ज़रदार से
क्यूँ समन्दर पीने बैठे पूछिए हमसे नहीं
इन्तहां-ए-तिश्नगी बस देखिए अब्सार से
काम लेते ही रहे हैं मुझसे मेरे दोस्त सब
आप भी ले लीजिए कुछ काम मुझ बेगार से
ख़ाक वो गुलशन हुआ जिसमे हसीं गुल खिलते थे
अब तो ज़ीनत है चमन की चार सू बस ख़ार से
लाख तस्वीरें बनाओ ख़ूब रंगो बू भरो
कम हरिक तस्वीर होगी उसके बिन शहकार से
लोग सारे शहर के हमदर्द मेरे बन गए
पूछिए मत क्या मिला इस ग़म के कारोबार से
बात दिल की दिल में ही मुझको दबाकर रखनी थी
कहके तुझसे गिर गया मैं ख़ुद के ही मेयार से
डूबने वाले "अमन" उस पार चिल्लाते रहे
देखते सब रह गए बस दरिया के इस पार से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aman Kumar Shaw "Haif"
our suggestion based on Aman Kumar Shaw "Haif"
As you were reading Samundar Shayari Shayari